Sabar kya hai?
Aaen aj hum apko sabar ke khubsurat ajar ke bare me batate hain.๐ค๐
Sabar hamesha aasaan nahi hota, magar iska phal bohat khoobsurat hota hai.๐คโจ
Sabar karne walon ke liye Allah ke waade ๐ค
Allah sabar karne walon ke saath hai.
Allah sabar karne walon se mohabbat karta hai.
Allah sabar karne walon ko be-hisaab ajar dega.
Sabar karne walon ke liye khushkhabri hai.
Sabar karne walon ke liye Jannat mein salamati hai.
Ek baat hamesha yaad rakhna:
Tumhara sabar, tumhari khamosh duaein aur tumhare aansu Allah se posheeda nahi hain. Allah sab jaanta hai. ๐ค
Allah tumhein Sabar-e-Jameel ata farmaye aur tumhari har jaiz dua qubool farmaye.
Aameen Ya Rabb-ul-Aalameen. ๐คฒโค๏ธ
Quran-e-Pak mein sabar ke baare mein bohat khoobsurat Aayatein hain. ๐ค
Allah Ta'ala ne kai maqamaat par sabar karne walon ke liye khushkhabri, ajar aur apni madad ka wada farmaya hai.
Yahan sabar ke baare mein chand aham Qurani Aayat Arabi Matn aur Urdu tarjume ke saath hain.๐ค
Quran-e-Pak mein sabar ke baare mein Aayaat ๐ค

1. ุฅูููู ุงูููููู ู ูุนู ุงูุตููุงุจูุฑูููู
Surah Al-Baqarah, Ayat 153
Tarjuma: Beshak Allah sabar karne walon ke saath hai. ๐ค
2. ููุจูุดููุฑู ุงูุตููุงุจูุฑูููู
Surah Al-Baqarah, Ayat 155
Tarjuma: Aur sabar karne walon ko khushkhabri suna dijiye.
3. ุฅููููู ูุง ูููููููู ุงูุตููุงุจูุฑูููู ุฃูุฌูุฑูููู ุจูุบูููุฑู ุญูุณูุงุจู
Surah Az-Zumar, Ayat 10
Tarjuma: Sabar karne walon ko unka ajar be-hisaab diya jayega.
4. ููุงูููููู ููุญูุจูู ุงูุตููุงุจูุฑูููู
Surah Aal-e-Imran, Ayat 146
Tarjuma: Aur Allah sabar karne walon se mohabbat karta hai.
5. ููุงุตูุจูุฑููุง ุฅูููู ุงูููููู ู ูุนู ุงูุตููุงุจูุฑูููู
Surah Al-Anfal, Ayat 46
Tarjuma: Aur sabar karo, beshak Allah sabar karne walon ke saath hai. ๐ค
6. ููุงุตูุจูุฑู ููู ูุง ุตูุจูุฑููู ุฅููููุง ุจูุงูููููู
Surah An-Nahl, Ayat 127
Tarjuma: Aur aap sabar kijiye, aur aap ka sabar Allah hi ki taufeeq se hai.
7. ููุตูุจูุฑู ุฌูู ูููู
Surah Yusuf, Ayat 18
Tarjuma: Pas khoobsurat sabar hi behtar hai.
8. ููุงุตูุจูุฑู ููุญูููู ู ุฑูุจูููู
Surah At-Toor, Ayat 48
Tarjuma: Aur apne Rab ke hukm ke intezar mein sabar kijiye.
9. ุณูููุงู ู ุนูููููููู ุจูู ูุง ุตูุจูุฑูุชูู ู
Surah Ar-Ra'd, Ayat 24
Tarjuma: Tum par salamati ho, us sabar ke badle jo tum ne kiya. ๐ค๐คฒ
PART 1: SABAR KYA HAI?
Sabar ka matlab sirf chup rehna nahi hai. Sabar ka matlab hai, jab dil toot raha ho, tab bhi Allah par bharosa rakhna. Jab dua qabool na ho rahi ho, tab bhi dua mangte rehna. Jab log chor jayein, tab bhi Allah ko na chorna.
Allah Quran me farmata hai, "Beshak Allah Sabar karne walon ke saath hai."
Sabar rakho, Allah ki taraf se behtareen waqt abhi baqi hai. ๐ค
Allah ek aur jagah farmata hai ke Sabar karne walon ko be-hisab ajar diya jayega. Duniya me har cheez ka hisab hota hai. Naukri ka hisab, paiso ka hisab, lekin Sabar ka ajar be-hisab hai. Matlab Allah jitna chahe de de, koi hadd nahi, koi limit nahi.
HAZRAT AYYUB (A.S) KA SABAR
Sabar ke ajar ki sab se bari misaal Hazrat Ayyub (A.S) hain. Unke paas sab kuch tha. Maal tha, aulad thi, sehat thi, izzat thi. Phir Allah ne unko azmaish me daal diya. Pehle maal chala gaya, phir aulad chali gayi, phir sehat chali gayi. Log chor kar chale gaye, lekin unhone Sabar nahi chhora.
Dair zaroor hoti hai, magar Allah ki rehmat kabhi dair nahi karti.
18 saal tak wo beemar rahe. Lekin unki zubaan par kabhi shikwa nahi aaya. Wo kehte rahe, "Ya Allah, tu Raheem hai, tu mujh par reham kar."
Aur phir Allah ne unke Sabar ka ajar diya. Allah ne unko sehat wapas di, us se bhi behtar sehat. Maal wapas diya, us se bhi zyada maal. Aulad wapas di, us se bhi zyada aulad.
Dekha? Sabar ka ajar kya hota hai? Jo chala gaya tha, wo dugna ho kar wapas aa gaya. Isliye agar tumhara kuch chala gaya hai, to ro mat. Tumhara Ayyub wala waqt chal raha hai. Thora Sabar karo, Allah tumhe dugna dega.
BIBI FATIMA (R.A) KA SABAR

Bibi Fatima (R.A) Jannat ki auraton ki Sardar hain. Lekin duniya me unki zindagi kitni mushkil thi. Kabhi 2-3 din tak ghar me khana nahi hota tha. Haath chaki pees pees kar zakhmi ho gaye. Lekin unhone kabhi shikwa nahi kiya.
Khamoshi se sabar karo, tumhari duaein apna raasta bana rahi hain.
Jab unko zaroorat hoti, to wo apne Baba ke paas jati, aur Nabi (S.A.W) unko Tasbeeh-e-Fatima sikha dete. "SubhanAllah, Alhamdulillah, Allahu Akbar" parh lo, ye tumhare liye khadim se behtar hai.
Unke Sabar ka ajar kya mila? Allah ne unko Jannat ki Sardari de di. Duniya me unko bhook mili, lekin Aakhirat me unko Jannat ki Sardari mili. Is se bara ajar aur kya ho sakta hai?
Har intezar ke peeche Allah ki koi na koi hikmat hoti hai.
HAZRAT HUSSAIN (R.A) KA SABAR
Aur Sabar ke ajar ki sab se roshan misaal Karbala hai. Hazrat Hussain (R.A) ne 3 din bhooke pyase reh kar Sabar kiya. Apne bhaiyon, beton, doston ki shahadat par Sabar kiya. Lekin zulm ke samne sar nahi jhukaya.
Jo Allah par bharosa rakhta hai, woh kabhi tanha nahi hota.
Logon ne socha Hussain haar gaye. Lekin asal me Hussain jeet gaye. Aaj 1400 saal guzar gaye, Yazid ka naam lene wala koi nahi, lekin Hussain ka naam har ghar me zinda hai. Har dil me Hussain zinda hain.
Yehi Sabar ka ajar hai. Ke tum duniya me haar kar bhi jeet jao. Ke tumhara naam mitane wale mitt jayein, aur tumhara naam qayamat tak zinda rahe.
Sabar karo, kyun ke Allah behtareen faisla karne wala hai. ๐ฅบ
AAKHRI BAAT

Meri behna, tumhara Sabar zaya nahi ja raha. Tum jo raat ko chup chap roti ho, wo Allah dekh raha hai. Tum jo logon ke taane sun kar bhi muskurati ho, wo Allah dekh raha hai. Tum jo dua qabool na hone par bhi dua mangti ho, wo Allah dekh raha hai.
"Bas sabar kiye ja rahi hoon, kyun ke mujhe yaqeen hai ke mera Allah mujhe kabhi mayoos nahi karega." โค๏ธโ๐ฉน
Tumhara ajar tayar hai. Ya to duniya me milega, dugna ho kar milega, ya Aakhirat me milega, be-hisab ho kar milega. Bas ek kaam karna hai, Sabar nahi chorna.
Aaj se wada karo, me shikwa nahi karungi, me Sabar karungi. Me logon ke samne nahi roungi, me Allah ke samne roungi. Me Allah ke waqt ka intezar karungi.
Allah tumhare Sabar ka be-hisab ajar de, tumhare dil ko sukoon de, aur tumhari har jaiz dua qabool farmaye. Ameen.
Agar ye Article Dil ko laga ho , to isko apne status par zaroor lagaen or apane doston ko zaroor share Karen.
FAQs
Q: Sabar kya hai?
A: Sabar ka matlab hai mushkil waqt me ghabrana nahi, Allah par bharosa rakhna aur khamoshi se uski madad ka intezar karna.
Q: Sabar karne ka ajar kya hai?
A: Quran me Allah ne farmaya hai ke Allah sabar karne walon ke saath hai, aur sabar karne walon ko be-hisaab ajar milega.
Q: Mushkil waqt me sabar kaise karein?
A: Namaz parhen, dua karein, Quran parhein aur yaad rakhein ke har mushkil ke baad aasani hai.
Conclusion
Aakhir me bas yehi kehna hai ke sabar karna mushkil zaroor hai, lekin iska ajar boht bara hai. Jo shakhs sabar karta hai, Allah usko kabhi akela nahi chorta. Mushkil waqt guzar jata hai, lekin sabar ka ajar hamesha rehta hai. Is liye khamoshi se sabar karo, tumhari duaein apna raasta bana rahi hain.









Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.