Toheed Kya HY?
Toheed Islam ki bunyad hY. Toheed ka matlab hY Allah Pak ko Ek manna. Na uska koi shareek hY, na us jaisa koi hY, aur na uske siwa koi ibadat ke laiq hY.
Quran Pak me Allah Pak farmata hY kY Allah Ek hY, wo be-niyaz hY na usne kisi ko jana Or na wo jana gaya, Or uska koi hamsar nhi.
(Toheed Ki 3 Qismain)

1. Toheed-e-Rububiyat:
Iska matlab hY ye manna ke is kainat ka banane wala, chalane wala Or rizq dene wala sirf Allah Pak hY. Zameen, Aasman, suraj, chand sab usi ke hukam se chalte hy.
2. Toheed-e-Uluhiyat:
Iska matlab hai ibadat sirf Allah ki ki jaye. Namaz, roza, dua, sajda sirf usi ke liye ho. Kisi peer, qabar ya bhut se mangna Toheed ke khilaf hy.
3. Toheed-e-Asma-o-Sifat:
Iska matlab hy Allah ke naam aur sifaton ko Wese hi manna jaisy Quran aur Hadees me aya hy. Allah Raheem hy, Kareem hy, Alim hy, Qadir hy. Uski sifaton me koi shareek nhi.
Toheed Hamari Zindagi Me Kyun Zaroori Hy?
Jab insan ko yaqeen ho jay ky deny wala sirf Allah hy, to wo kisi insan ke samne nai jhukta. Uska dar khatam ho jata hy. Wo sirf Allah se mangta hy aur sirf usi par bharosa karta hy.
Toheed insan ko mazboot banati hy. Mushkil waqt me wo mayus nahi hota kyun ke usko pata hota hy ke Allah mere sath hy.
Toheed Aur Shirk Me Farq
Shirk ka matlab hy Allah ke sath kisi aur ko shareek karna. Ye sab se bara gunah hy. Allah shirk ko maaf nhi karta jab tak insan toba na kar le. Is liye hume har kaam me ye dekhna chahiye ke kahin hum anjane me shirk to nhi kar rahe.
Nateeja
Toheed sirf aik lafz nhi, ye poori zindagi guzarne ka tareeqa hy. Agar hamari Toheed mazboot ho jaye to hamari namaz, hamara akhlaq aur hamara imaan sab mazboot ho jayega. Allah hum sab ko sachi Toheed par qaim rehne ki taufeeq de. Ameen.
Toheed Ka Yaqeen Insan Ko Kaise Badalta Hy?
Jab insan ka Toheed par pakka yaqeen ho jata hai to uski poori soch badal jati hai. Wo samajh jata hai ke izzat aur zillat, rizq aur maut sab Allah ke haath me hai. Koi insan uska rizq nahi rok sakta aur koi usko nuksan nahi pahuncha sakta jab tak Allah na chahe.
Is yaqeen se insan ke dil ko sakoon milta hai. Aaj kal log choti choti pareshaniyon se ghabra jate hain. Kisi ko job ki fikar hai, kisi ko paisay ki, kisi ko beemarion ki. Lekin jis ka Allah par yaqeen mazboot hota hai, wo har mushkil me kehta hai ke mera Allah hai na, wo rasta nikal dega.
Toheed Aur Namaz Ka Rishta
Namaz Toheed ka sab se bara saboot hai. Jab hum har namaz me kehte hain "Iyyaka Na'budu Wa Iyyaka Nasta'een" matlab "Hum teri hi ibadat karte hain aur tujh hi se madad mangte hain" to yehi Toheed hai.
Agar hum namaz me ye kehte hain aur bahar ja kar kisi aur se mangte hain, kisi qabar par sajda karte hain, to hamari namaz aur hamara amal dono me farq aa jata hai. Is liye namaz ko samajh kar parhna chahiye.
Bachon Ko Toheed Kaise Sikhaen?
Bachon ki tarbiyat me sab se pehle Toheed sikhana chahiye. Bachon ko ye batayen ke Allah hamesha dekh raha hai. Jab bacha ye samajh jayega ke Allah dekh raha hai, to wo akele me bhi galat kaam nahi karega.
Bachon ko kahaniyan sunayen, Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki kahani sunayen jinhon ne buton ko tor kar bataya ke ibadat sirf Allah ki hai. Is se bachon ke dil me Toheed mazboot hogi.
Rozana Zindagi Me Toheed
Toheed sirf masjid me nahi, dukaan par, ghar me, job par har jagah hai. Jhoot na bolna, dhoka na dena, rishwat na lena ye sab Toheed ka hissa hai kyun ke Allah dekh raha hai.
Jab hum ye soch kar kaam karenge ke Allah dekh raha hai, to humara kaam bhi ibadat ban jayega.
Dua Aur Toheed
Dua ibadat ka maghaz hai. Dua sirf Allah se mangni chahiye. Kisi zinda ya murda insan se ye umeed rakhna ke wo hamari dua poori karega, ye Toheed ke khilaf hai. Allah farmata hai ke mujh se mango, main tumhari dua qabool karunga.
Is liye jab bhi dil pareshan ho, wazu karke 2 rakat namaz parh kar Allah se mango. Wo zaroor sunega.
Aakhri Paigham

Aaj hume zaroorat hai ke hum apni Toheed ko dobara mazboot karen. Apne dil se har dar ko nikal den aur sirf Allah par bharosa karen. Jo insan Allah ka ho jata hai, Allah uska ho jata hai.
Allah hum sab ko Toheed par jeene aur Toheed par marne ki taufeeq de. Ameen.
Toheed Par Qaim Rehne Ka Inam
Jo shakhs duniya me Toheed par qaim rehta hai, Allah usko akhirat me bohot bara inam dega. Jannat ki sab se bari nemat Allah ka deedar hai, aur wo sirf un logon ko naseeb hoga jinhon ne duniya me Allah ko Aik mana aur uske sath kisi ko shareek nahi kiya.
Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke jis ka aakhri kalma La Ilaha Illallah hoga, wo Jannat me dakhil hoga. Is se pata chalta hai ke Toheed hi kamyabi ki chabi hai.
Is liye hume rozana apne imaan ko taza karna chahiye. Subah sham Astaghfar karen, Kalma parhen, aur Allah se dua karen ke wo hume Toheed par qaim rakhe. Jab dil me Toheed ka noor aa jata hai to zindagi ke tamam andhere khatam ho jate hain aur insan ko asli sakoon mil jata hai.
Aakhir me ye yaad rakhen ke Toheed hamara sab se qeemti sarmaya hai. Is sarmaye ki hifazat karen. Apne ghar walon ko, apne bachon ko aur apne doston ko bhi Toheed ki dawat den. Kyun ke jo shakhs Toheed par mar gaya, uski akhirat sanwar gayi.
Allah se dua hai ke wo hume sachhi Toheed par qaim rakhe, hamare dilon ko apne noor se roshan kare aur hume Jannat-ul-Firdous ata farmaye. Ameen Summa Ameen.









Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.