Tanhai kya hai?

Tanhai ka matlab sirf akele bethna nahi hai. Tanhai ka matlab hai, bheer me bhi akela mehsoos karna. Log paas hon, dost paas hon, family paas ho, phir bhi dil kahe ke koi mera nahi hai. Koi mujhe samajhta nahi hai.
Kabhi kabhi zindagi me aisa waqt aata hai jab sab kuch hote hue bhi dil khaali lagta hai. Jisko apna samjha tha, wohi door ho jata hai. Jiske liye roye the, wohi hans kar chala jata hai. Jisko dil ki baat batayi thi, wohi baat ko mazaak bana deta hai. Aur phir hum akele reh jate hain. Bilkul akele.
Lekin kya tumne kabhi socha hai, ye Tanhai aati kyun hai? Ye Tanhai saza nahi hai. Ye Allah ki taraf se ek ishara hai. Allah jab apne banday se mohabbat karta hai, to usko duniya se thora door kar deta hai, taake banda sirf Allah ko yaad kare.
Duniya wale jab chor jate hain, tabhi to Allah yaad aata hai. Jab sab saath hote hain, tab hum Allah ko bhool jate hain. Jab dost hote hain, tab hum unse baat karte hain. Jab log hote hain, tab hum unse dil lagate hain. Lekin jab koi nahi hota, tab dil kehta hai, Ya Allah, ab to sirf Tu hi hai.
Allah Quran me farmata hai,
"Aur jab mere banday tumse mere baare me poochein, to bata do ke me qareeb hun." Socho, Allah kitna qareeb hai. Log door ja sakte hain, dost badal sakte hain, rishtay toot sakte hain, lekin Allah kabhi door nahi jata. Wo har waqt tumhare saath hai, tumhari shah rag se bhi zyada qareeb hai.
Tanhai me hi dua nikalti hai. Jo dua bheer me nahi nikalti, wo dua raat ke 2 bajay tanhai me nikalti hai. Jab kamre me koi nahi hota, jab aankhon me aansu hote hain, jab dil toota hua hota hai, tab jo dua nikalti hai, wo seedha Arsh tak jati hai. Kyunki us dua me dikhawa nahi hota, us dua me sirf sach hota hai.
Nabi (S.A.W) bhi to tanhai me Allah ko yaad karte the. Ghaar-e-Hira me ja kar, duniya se door ho kar, Allah ki ibadat karte the. Agar Tanhai buri hoti, to Nabi (S.A.W) kabhi Ghaar-e-Hira na jate. Tanhai hi to wo jagah hai jahan dil Allah se milta hai.
Bibi Maryam (A.S) ko bhi to logon ne akela chor diya tha. Jab unke paas Hazrat Isa (A.S) aaye, to logon ne un par ungli uthayi. Wo akeli ho gayi. Lekin Allah ne unko akela nahi chora. Allah ne unke liye khajoor ka darakht hila diya, paani ka chashma nikaal diya. Allah ne kaha, Maryam, gham mat karo, me tumhare saath hun.
Aaj tum bhi akeli ho na? Logon ne tumhe samajhna chor diya hai na? Koi tumhari baat nahi sunta na? To suno, ye tumhari haar nahi hai. Ye tumhari jeet ki shuruaat hai. Kyunki ab tum duniya se nahi, Allah se jurogi.
Tanhai me 3 kaam zaroor karo.
1. Allah se baat karo. Jaise dost se baat karte ho, waise Allah se baat karo. Kaho, Ya Allah, me thak gayi hun. Ya Allah, mera dil toot gaya hai. Ya Allah, mujhe sambhal le. Allah sunta hai, wo kabhi ignore nahi karta.
2. Quran kholo. Jab dil udaas ho, to Quran ki ek ayat bhi dil ko sukoon de deti hai. Quran dil ka doctor hai. Duniya wale dil tortay hain, Quran dil jorta hai.
3. Apne aap ko waqt do. Tanhai me apne aap ko pehchano. Tum kya chahti ho? Tum kis cheez se khush hoti ho? Tumhara dil kis cheez me sukoon pata hai? Jab tum apne aap ko samajh jaogi, to duniya tumhe samjhe ya na samjhe, farq nahi parega.
Meri behna, yaad rakho. Jo log tumhe chor gaye, wo tumhare qabil hi nahi the. Allah ne unko tumhari zindagi se nikaal kar tum par ehsaan kiya hai. Agar wo aaj bhi hote, to tum Allah ko kabhi itne qareeb se na pehchanti. Unke jaane ka gham mat karo, Allah ke aane ka shukr karo.
Tanhai azab nahi hai. Tanhai Allah ka bulawa hai. Jab sab darwazay band ho jayein, tab Allah ka darwaza khulta hai. Aur Allah ka darwaza kabhi band nahi hota.
Aur ek baat yaad rakho, Tanhai me insaan sab se zyada mazboot banta hai. Jab koi saath nahi hota, tab insaan apni asli taqat ko pehchanta hai. Wo taqat jo duniya walon se nahi, Allah se milti hai. Tum sochti ho tum kamzor ho, lekin jo larki akeli reh kar bhi Allah ko nahi chorti, wo duniya ki sab se mazboot larki hoti hai.
Hazrat Yousuf (A.S) ko bhi to unke apne bhaiyon ne akela chor diya tha. Kuway me phenk diya tha. Socho, kitni bari tanhai thi wo. Na maa paas thi, na baap paas tha, na koi dost tha. Lekin Allah unke saath tha. Allah ne unko kuway se nikaal kar Misar ka badshah bana diya. Jo log unko chor gaye the, wo hi ek din unke saamne jhuk gaye. Isliye tumhari tanhai bhi tumhari badshahat ki shuruaat ho sakti hai, bas Sabar karna hai.

Kabhi kabhi Allah tumhe akela isliye karta hai, taake tumhe pata chale ke tumhara asal sahara kaun hai. Log to waqt aane par chor jate hain, lekin Allah waqt aane par aur qareeb aa jata hai. Jab tum roti ho, to log kehte hain, "rona band karo." Lekin Allah kehta hai, "ro lo mere samne, me sun raha hun." Jab tum thak jati ho, to log kehte hain, "hum busy hain." Lekin Allah kehta hai, "aajao, me tumhara intezar kar raha hun."
Isliye apni tanhai ko bojh mat samjho. Isko apni ibadat bana lo. Raat ko jab sab so jayein, tab tum uth kar 2 rakat nafal parh lo. Apne haath utha kar Allah se keh do, Ya Allah, mujhe to sirf Tu chahiye. Dekhna, dil ko aisa sukoon milega jo duniya ke kisi insaan se baat kar ke nahi milta.
Tanhai me likhna bhi shuru karo. Jo baat kisi ko nahi bata sakti, wo diary me likh do. Jo aansu kisi ke samne nahi baha sakti, wo Allah ke samne baha do. Jo dard kisi ko nahi samjha sakti, wo Allah ko suna do. Allah samajhta hai, bina bole bhi samajhta hai.
Aaj se wada karo. Me tanhai me nahi roungi, me tanhai me Allah ko yaad karungi. Me logon ke peechay nahi bhaagungi, me Allah ke qareeb jaungi. Kyunki log chor sakte hain, Allah kabhi nahi chorta.
Allah tumhari tanhai ko sukoon me badal de. Tumhare toote hue dil ko jor de. Aur tumhe aise logon se milaye jo tumhe tanhai me bhi akela na choren. Ameen.
Agar ye article tumhare dil ko laga ho, to isko apne status par zaroor lagana, taake kisi aur akeli behna ko bhi pata chale ke wo akeli nahi hai, Allah uske saath hai.









Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.