1. Article Likh Kar Earning - Sab Se Asan Kaam
Agar aapko likhna aata hai, to is se asan kaam koi nahi hai. Jaise aap WhatsApp par likhte hain, waise hi article likhna hai.
Article.pk, Medium, or Facebook par log apne tajurbay likhte hain or paisa kamatay hain. Aapko kya likhna hai? Jo aapko aata hai wo likho. Agar aapko khana pakana aata hai, to khano ki recipe likho. Agar aapko kapron par paint karna aata hai, to wo sikhao. Agar aapko bachon ko parhana aata hai, to wo batao.
Log hamesha sacha tajurba parhna pasand karte hain. Jhoot likha hua article kabhi nahi chalta.
Pehle din sirf 1 article likho. 500 se 1000 words ka. Us me apni zindagi ki sachi baat likho. Dusre din usko Facebook par share karo. Teesre din log usko parhenge. Jab aapke 10 article ho jayenge, to aapko khud hi pata chal jayega ke log kis cheez ko zyada pasand karte hain.
2. Facebook Page Se Earning - Mobile Hi Kafi Hai
Pakistan me sab se zyada log Facebook use karte hain. To paisa bhi wahin hai.
Aap ek chota sa page banao. Naam rakho jo aapke kaam se milta ho. Jaise Pir Mahal Ki Painting ya Ghar Ka Khana. Roz 1 video ya 1 tasweer lagao. Video lambi nahi honi chahiye, sirf 1 minute ki.
Jaise agar aap kapron par ghulab bana rahi hain, to uski video banao. Pehle kya kiya, phir kya kiya. Log aise video bohat shoq se dekhte hain. Jab aapke followers barh jayenge, to log khud aapko order denge. Ek suit par paint karne ka 500 se 1000 rupay mil jata hai.
Roz kaam karna hai. Ek din kaam kar ke chor dena nahi hai. Facebook usi ko paisa deta hai jo roz aata hai.
3. Daraz Aur Online Bech Kar Earning
Agar aapke paas 2000-3000 rupay hain, to ye kaam shuru karo. Aapko dukaan kholnay ki zaroorat nahi hai.
Aap bazaar se sasti cheez lo, or Daraz par thori mehngi becho. Jaise bachon ke kapre, choti choti jewellery, ya dupatte. Shuru me sirf 2-3 cheezein rakho. Jab ek cheez bik jaye, to usi paisay se doosri le aao.
Bohat si aurtein ghar baithe ye kaam kar rahi hain. Wo bazaar nahi jati, wo online hi order leti hain. Unko bas packing karni hoti hai.
Agar aapke paas paisa nahi hai, to pehle wala article wala kaam karo, us se paisa jama karo, phir ye kaam shuru karo.
4. Painting Aur Handmade Kaam Se Earning - Hunar Hi Paisa Hai
Ye kaam to hamare Pakistan me sab se zyada izzat wala hai. Agar aapko hath ka kaam aata hai, to aap kabhi bhooke nahi rahenge.
Aaj kal log bazari cheezon se tang aa gaye hain. Wo hath se bani hui cheez ko zyada pasand karte hain. Jaise hath se paint ki hui kameez, hath se bana hua dupatta, ya hath se bana hua ghar ka decoration.
Maine khud dekha hai, ek bachi ne apni white kameez par laal ghulab banaye. Us kameez ki qeemat 2000 se zyada ho gayi. Sirf is liye ke wo hath ka kaam tha.
Aap kya bech sakti hain? Paint ki hui kameez, paint kiya hua dupatta, paint kiya hua cushion cover, ya bachon ke kapre. Ek kameez par aapko 2 ghantay lagte hain, or aapko 800 se 1000 rupay mil jate hain. Roz ki 1 kameez bhi kar lo to 1000 rupay ho gaye.
5. YouTube Shorts Se Earning - Choti Video, Bara Paisa
Ab zamana video ka hai. Log parhna kam, dekhna zyada pasand karte hain.
Aapko bara YouTuber banne ki zaroorat nahi hai. Sirf Shorts banane hain. 30 second ki video. Us me apna kaam dikhao. Jaise ghulab kaise banate hain, khana kaise banate hain, ya ghar kaise saaf karte hain.
Shuru me views kam ayenge, 50 ya 100. Lekin agar aap roz 1 video dalti rahi, to ek din aisa ayega ke ek video par 1 lakh views aa jayenge. Or usi din se paisa aana shuru ho jayega.
Jhoot mat bolo. Kisi ki video chori mat karo. Apni awaz me bolo. Log sachi awaz ko pasand karte hain.
Roz Ke 1000 Rupay Ka Asal Formula
Roz ke 1000 rupay ka matlab mahine ke 30000 rupay hai. Ye itna bara paisa nahi hai. Agar aap 3 kaam ek sath karo gi, to ye ho jayega. Subah 1 ghanta article likho. Dopahar me 1 ghanta Facebook par kaam karo. Sham ko 1 ghanta apna painting wala kaam karo.
Jab 3 jagah se thora thora paisa ayega, to mil kar 1000 ho jayega. Kisi ek kaam par hi na beth jana.

Aakhri Baat - Aaj Se Shuru Karein
Dekhein, sirf parhne se paisa nahi aata. Paisa kaam karne se aata hai. Aapne ye article parh liya, ye bohat achi baat hai. Ab is mobile ko side par rakho, or socho ke in 5 me se kaunsa kaam aapko sab se asan lag raha hai? Usi ko aaj se shuru karo.
Yaad rakho, jo aaj shuru kare ga, wo agle mahine kama raha hoga. Or jo kal ka soche ga, wo agle saal bhi yehi article parh raha hoga.
Allah aapko kamyabi de. Ameen.
Aap mujhe comment me batayein, aap in 5 me se kaunsa kaam shuru kar rahe hain?
Dekhein, sirf parhne se paisa nahi aata. Paisa kaam karne se aata hai. Aapne ye article parh liya, ye bohat achi baat hai. Ab is mobile ko side par rakho, or socho ke in 5 me se kaunsa kaam aapko sab se asan lag raha hai? Usi ko aaj se shuru karo.
Agar aapko likhna asan lag raha hai, to aaj hi apna pehla article likho. Agar aapko painting aati hai, to aaj hi ek ghulab banao or uski tasweer lagao. Agar aapko video banana asan lag raha hai, to aaj hi 30 second ki video banao.
Yaad rakho, jo aaj shuru kare ga, wo agle mahine kama raha hoga. Or jo kal ka soche ga, wo agle saal bhi yehi article parh raha hoga.
Allah aapko kamyabi de. Ameen.










Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.