Online Earning Mein Fail Hone Ki 5 Wajah - Aur Ka
Aksar log kehte hain, "Maine YouTube bhi try kiya, Blogging bhi ki, lekin mujhe to ek rupaya bhi nahi mila."
Kya online earning jhooth hai? Nahi. Sach ye hai ke wo log 5 galtiyan karte hain, jis ki wajah se wo fail ho jate hain. Agar aap ne ye 5 galtiyan chor di, to aap zaroor kamyab ho jayenge.
Ek Sachi Kahani -
Jo Aap Ki Kahani Bhi Ho Sakti Hai
Bahawalnagar ke ek larke ka naam Ahmed hai. Us ne 2024 mein YouTube channel banaya. Us ne 10 din roz video dali. Jab views nahi aaye to us ne channel chor diya. Phir us ne Blogging shuru ki. 15 din article likhe, phir chor diya. Phir us ne Facebook Page banaya, phir wo bhi chor diya.
Aik saal baad Ahmed ne phir se shuru kiya, lekin is baar us ne ek ghalti nahi ki. Us ne sirf ek kaam pakra, YouTube Shorts. Us ne 90 din tak roz ek video dali, chahe views aayen ya na aayen. 90 din ke baad us ka ek video viral ho gaya. Aaj Ahmed ghar baithe har mahine 60,000 se 80,000 rupay kama raha hai.
Ahmed ki kahani aur aap ki kahani mein farq sirf itna hai ke us ne haar nahi mani. Aaj hum usi farq ko samjhenge.
1. Jaldi Haar Maan Lena -
Sab Se Bari Wajah
Ye sab se bari wajah hai. Log 10 din kaam karte hain, paisa nahi aata to chor dete hain.
Yaad rakhein, online earning kheti jaisi hai. Aap aaj beej boenge to kal phal nahi milega. Us ko 90 din pani dena parta hai. Jo banda 90 din ruk gaya, wo kamyab ho gaya.
Google aur YouTube bhi naye bande ko pehle 30 din mein upar nahi late. Wo pehle dekhte hain ke ye banda roz kaam karta hai ya nahi. Agar aap 10 din mein chor denge to Google sochega ke ye banda serious nahi hai. Is liye aap ke views kabhi nahi ayenge.
Is ka hal ye hai ke aap apne zehen mein pehle din se likh lein ke mujhe 90 din tak paisa nahi milega, mujhe sirf kaam karna hai. Jab aap paiso ki tension khatam kar denge to kaam aasan ho jayega.
2. Roz Naya Kaam Badalna
Aaj YouTube, kal Facebook, parso Freelancing. Ye karne se aap kahin ke nahi rehte.
Aap sochiye, agar ek aadmi ek saal mein 5 dukanein badalta hai to us ki koi dukaan chalegi? Nahi chalegi. Bilkul isi tarah online earning mein bhi ek dukaan chalani parti hai.
Kamyab log sirf EK kaam pakarte hain. Aap bhi aaj se sirf ek kaam pakrein. Ya to YouTube, ya to Blogging. 3 mahine tak sirf usi par kaam karein.
Agar aap ko likhna pasand hai to Blogging karein. Agar aap ko bolna pasand hai to YouTube karein. Lekin dono ko ek sath na karein. Pehle ek mein kamyab ho jayen, phir dusra shuru karein.
3. Fake Apps Aur Scam Ke Peeche Bhagna
Jo app kehta hai "Roz 5000 kamao, bas click karo", wo 100% jhooth hai. Wo aap ka time zaya karta hai aur kabhi paisa nahi deta.
Pakistan mein hazaron fake apps hain jo kehte hain pehle 500 rupay jama karwao, phir paisa milega. Ye sab fraud hai. Asli earning mein aap se koi paisa nahi mangta.
Real earning mein mehnat lagti hai. Fake apps se bachein. Sirf YouTube, Blogging, Facebook Page aur Freelancing par bharosa karein.
Yaad rakhein, agar koi kaam bohat aasan lag raha hai to samajh jayen ke wo jhooth hai. Mehnat wala kaam hi asli hota hai.
4. Seekhe Baghair Kaam Shuru Karna
Bohat se log bina seekhe hi video bana dete hain ya article likh dete hain. Phir kehte hain views nahi aate.
Pehle 15 din sirf seekhein. YouTube par dekhein ke kamyab log kya karte hain. Un ka thumbnail kaisa hota hai, un ka title kaisa hota hai, wo video kaise shuru karte hain. Un jaisa kaam karein, apna tarika na banayein.
Jis tarah driver pehle seekhta hai, phir gari chalata hai, isi tarah online earning mein bhi pehle seekhna parta hai. Agar aap bina seekhe kaam karenge to aap ka time zaya hoga aur aap ko lagayega ke online earning jhooth hai.
Roz 30 minute seekhne ke liye rakhein. YouTube par free mein sab kuch milta hai. Aap ko kisi course ke liye paisa dene ki zaroorat nahi hai.
5. Roz Kaam Na Karna
Ek din 3 video bana di, phir 10 din gayab. Is se Google aur YouTube aap ko bhool jata hai.
Roz thora kaam karein, lekin roz karein. Roz 1 video ya roz 1 post. Yahi kamyabi ka raaz hai.
Aap ek diary bana lein. Us mein likhein ke aaj maine kya kaam kiya. Jab aap 30 din tak roz likhenge to aap ko khud maza aayega. Aap ka zehen kahega ke aaj ka kaam reh gaya hai.
Kamyab log wo nahi hote jo ek din bohat kaam karte hain. Kamyab log wo hote hain jo roz thora thora kaam karte hain aur kabhi nahi rukte.
Ab Kamyab Hone Ka 90 Din Wala Asaan Plan
Agar aap sach mein kamana chahte hain to ye plan likh lein:

Pehle 30 Din -
Seekhne Wale Din: Is mein sirf seekhein aur roz 1 post karein. Paisa bilkul na sochein. Bas ye sochein ke mujhe roz kaam karna hai.
Dusre 30 Din -
Sudhar Wale Din: Is mein apni galtiyan theek karein. Dekhein ke kis post par zyada views aaye, usi jaisi postein banayen. Jo kaam acha nahi chal raha us ko chor dein.
Teesre 30 Din -
Phal Wale Din: Is mein aap ko result milna shuru ho jayega. Aap ke views barhne lagenge. Aap ko pehli earning ka rasta nazar aayega.
Jo banda is plan par chalega, us ko InshaAllah 90 din ke baad pehli earning zaroor hogi.
Aksar Puche Jane Wale Sawal - FAQ
Sawal: Online earning mein kitna paisa lagta hai?
Jawab:
Zero. Sirf mobile aur internet chahiye. Agar aap ke paas mobile hai to aap shuru kar sakte hain.
Sawal:
Kitne din mein pehli earning hogi?
Jawab:
Agar aap roz kaam karenge to 90 din mein pehli earning aajati hai. Kisi ko 60 din mein bhi aajati hai.
Sawal:
Kya parha likha hona zaroori hai?
Jawab:
Nahi. Aap ko sirf mobile chalana aana chahiye. Bohat se kam parhe likhe log bhi lakhon kama rahe hain.
Sawal:
YouTube behtar hai ya Blogging?
Jawab:
Dono behtar hain. Jo aap ko aasan lagta hai, wo shuru karein. Dono mein se ek ko pakrein.
Sawal:
Kya Article.pk se bhi earning hoti hai?
Jawab:
Ji haan. Article.pk par article likh kar bhi aap earning kar sakte hain. Is ke liye aap ka article 1000 words se upar hona chahiye aur asli hona chahiye.
Aakhri Baat
Aap ki mehnat zaya nahi ho rahi. Bas aap ko sahi rasta chahiye. Aaj se haar mat manein. Kal wala article aur aaj wala article dono ko ek sath parhein.
Agar ye article aap ko acha laga to is ko apne dost ke sath share zaroor karein. Shayad aap ke ek share se kisi ki zindagi badal jaye.










Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.