7 Din Me Glow Wala Chehra Paein
Aakhir tak zaroor parhein, aakhir me main aap ko wo secret nuskha bataon gi jo parlour wali bhi nahi batati, aur jo aap ke chehre ko sheeshe jaisa saaf kar de ga.
Har larki ka khwab hota hai ke us ka chehra saaf, chamakdar aur daag dhabbon se paak ho. Lekin jab chehre par pimple ke daag, chil, jhaiyan, ya dhoop ki wajah se kala pan aa jata hai to confidence bhi khatam ho jata hai. Mehngi creamen lagane ke baad bhi farq nahi parta, ulta skin aur kharab ho jati hai.
Aap pareshan na hon. Aaj main aap ko chehre ke daag dhabbe khatam karne ka wo asan aur sasta tarika bataon gi jo hamari dadi amma ke zamane se chalta aa raha hai. Ye tamam totkay ghar ki cheezon se bante hain, in ka koi side effect nahi hai, aur agar aap in ko pabandi se 7 din istemal karen to aap khud sheeshe me farq dekhengi.
Pehle ye samajhna zaroori hai ke chehre par daag dhabbe kyun parte hain?
Chehre Par Daag Dhabbe Kyun Parte Hain?
Sab se pehli wajah hai pimple ko hath se dabana. Jab hum pimple ko nochte hain to us ka nishan pakka ho jata hai. Doosri wajah hai dhoop. Dhoop me baghair sunblock ke nikalne se chehre par kale dhabbe aur jhaiyan par jati hain. Teesri wajah hai khoon ki gandagi, neend ki kami, pani kam peena, aur ghalat khana. Agar aap ka pait kharab rehta hai, qabz rehti hai to us ka asar bhi chehre par aata hai. Aur chauthi wajah hai mehngi chemical wali creamen, jo pehle to chehra gora kar deti hain lekin baad me chehra aur kala kar deti hain.
Is liye sirf bahar se cream lagana kafi nahi hai. Chehre ko andar se bhi saaf karna zaroori hai. Aain ab hum dekhte hain wo 7 behtareen totkay jo daag dhabbon ko jad se khatam karte hain.
Lemon Aur Shehad Wala Nuskha
- Daag Ka Sab Se Tez Ilaj
Lemon me Vitamin C hota hai jo daag ko halka karta hai. Shehad skin ko narm karta hai.
Tareeka: Aik chammach lemon ka ras lein, is me aik chammach khalis shehad mila lein. Is ko chehre par sirf daag wali jagah par lagain, 15 minute baad thande pani se dho lein. Ye hafte me 3 dafa karen. Sensitive skin wali larkiyan lemon ko seedha na lagain, is me thora sa arq-e-gulab mila lein.
Aap dekhengi ke 7 din me hi pimple ke purane daag halke hona shuru ho jayen ge.
2. Haldi Aur Dahi Ka Ubtan - Dadi Amma Ka Raaz
Haldi ko Pakistan me sadiyon se khubsurti ke liye istemal kiya jata hai. Dahi me lactic acid hota hai jo marda skin ko utarta hai.
Tareeka: Aik chammach dahi me chutki bhar haldi aur aik chutki besan mila lein. Is ka paste bana kar pure chehre par lagain. 20 minute baad halke hath se masaj kar ke dho lein. Ye ubtan dulhan ko bhi shadi se pehle lagaya jata hai. Is se chehra gora, narm aur chamakdar ho jata hai.
3. Aloe Vera Gel - Raat Ka Jadu
Aloe vera ko Allah ne skin ke liye behtareen tohfa banaya hai. Ye daag ko bharta hai aur nayi skin banata hai.
Tareeka: Raat ko sone se pehle taza aloe vera ka patta kaat kar us ka gel nikal lein. Is ko pure chehre par laga kar sara raat laga rehne dein. Subah munh dho lein. Agar aap ke paas taza poda nahi hai to bazar wala khalis aloe vera gel bhi istemal kar sakti hain. 7 din me aap ko chehre me taza gi aur narmi mehsoos hogi.
4. Arq-e-Gulab Aur Glycerin - Roz Ka Toner
Jo larkiyan roz arq-e-gulab lagati hain un ke chehre par kabhi daag nahi parte.
Tareeka: Aik choti bottle me adha arq-e-gulab aur adha pani mila lein, is me 3-4 qatray glycerin daal dein. Is ko fridge me rakhen aur roz subah shaam cotton se chehre par lagain. Ye aap ke khule masam ko band karta hai, chehre ko thanda rakhta hai aur daag ko aahista aahista khatam karta hai.

5. Aloo Ka Ras - Jhaiyon Ka Dushman
Aloo ka ras jhaiyon aur kale dhabbon ke liye sab se sasta aur tez ilaj hai. Is me bleaching ki khudrati taqat hoti hai.
Tareeka:
Aik aloo ko kaddu kash kar ke us ka ras nikal lein. Is ras ko cotton ki madad se daag wali jagah par lagain. 20 minute baad dho lein. Agar aap is ko roz karen to jhaiyan 2 hafte me kafi had tak halki ho jati hain.
6. Kheera Aur Tamatar Ka Mask - Dhoop Ke Daag Ke Liye
Garmiyon me dhoop se chehra kala ho jata hai. Kheera aur tamatar is kale pan ko khatam karte hain.
ka ras nikal kar mila lein. Is Tareeka:
Adha kheera aur aik tamatarme aik chammach besan mila kar mask bana lein. Chehre par 20 minute lagain. Ye mask sun tan ko khatam karta hai aur chehre ko thandak deta hai.
7. Pani, Neend Aur Khorak - Andar Se Safai
Yaqeen karen, duniya ki koi cream us waqt tak kaam nahi kare gi jab tak aap andar se saaf nahi hongi. Roz 8 se 10 glass pani peena lazmi hai. Pani khoon ko saaf karta hai aur daag ko andar se khatam karta hai. Raat ko 7 se 8 ghante ki neend poori karen. Neend poori na hone se aankhon ke neeche halke aur chehre par daane nikalte hain. Aur sab se zaroori, roz aik waqt salad, phal aur sabzi zaroor khayen. Fast food, zyada mirch masala aur cold drink se chehre par pimple nikalte hain.
Chehre Ko Gora Karne Ke Liye Kya Nahi Karna Chahiye?
Bohat si larkiyan jaldi gore hone ke chakkar me bazar ki sasti gori karne wali creamen laga leti hain. Ye creamen pehle 10 din me chehra safed kar deti hain lekin baad me chehra laal, patla aur daag dar ho jata hai. Kabhi bhi kisi ke kehnay par steroid wali cream na lagain. Hamesha apni skin ka patch test karen. Pehle thora sa totka hath par laga kar dekhen, agar jalan na ho to phir chehre par lagain. Aur din me dhoop me nikalte waqt sunblock zaroor lagain.
7 Din Ka Mukammal Plan - Is Ko Follow Karen
Din 1 se 3 tak: Subah arq-e-gulab toner, raat ko aloe vera gel.
Din 4: Haldi aur dahi ka ubtan.
Din 5 se 7 tak: Subah aloo ka ras, shaam ko lemon shehad wala nuskha.
Roz: 10 glass pani, 8 ghante neend, aur fast food se parhez.
Agar aap is plan par amal karengi to InshaAllah 7 din me aap ke chehre par wazeh farq nazar aaye ga. Daag halke honge, skin narm hogi aur aik qudrati glow aaye ga.
Wo Secret Nuskha Jaisa Ke Wada Kiya Tha:
Aakhir me wo raaz jo main ne shuru me bataya tha. Raat ko sone se pehle aik chammach shehad me 2 qatray lemon aur 2 qatray arq-e-gulab mila kar sirf daag wali jagah par lagain aur sari raat laga rehne dein. Subah halke garam pani se dho lein. Ye nuskha 21 din lagatar karen. Ye combination daag ko jad se khatam karta hai aur chehre ko sheeshe jaisa saaf kar deta hai. Lekin yaad rakhen, ye nuskha sirf raat ko lagana hai, din me lemon laga kar dhoop me na niklen.
Khubsurti ka raaz mehngi cremon me nahi, sabar aur pabandi me hai. Apne chehre se mohabbat karen, us ko saaf rakhen, aur Allah ka shukar ada karen. Agar aap ko ye article pasand aaya to is ko apni behnon aur doston ke sath zaroor share karen taake wo bhi faida utha saken.
Aap ka chehra kaisa hai? Daag hain ya pimple? Neeche comment me zaroor batayen, main agle article me aap ke masle ka hal bataon gi.









Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.