*1. Mehngai Kya Hai?*
Mehngai ka matlab hai.
Cheezon ka mehanga ho jana.
Pehle 1000 me poora haftay ka sauda aa jata tha.
Ab 1000 me sirf 1 din ka sauda aata hai.
Pehle 5000 me mahina guzar jata tha.
Ab 5000 me sirf 1 hafta guzarta hai.
Mehngai ne har ghar ko tang kar diya hai.
Bara ghar ho ya chota ghar.
Sab ke haath khaali hain.
Sab ki jeb khaali hai.
*2. Aata*
Aata sab se zaroori cheez hai.
Roti ke baghair guzara nahi hai.
Pehle aata sasta tha.
Ab aata itna mehanga hai.
Ke ghareeb banda 2 waqt ki roti bhi nahi kha sakta.
Maa kehti hai, beta thori roti khao.
Bhai kehta hai, ammi bhook lagi hai.
Maa ke paas jawab nahi hota.
Wo chup ho jati hai.
Wo apni roti bhi bachon ko de deti hai.
Ye hai mehngai ka asal chehra.
Ye sirf number nahi hai.
Ye bhook hai.
Ye aansu hai.
*3. Cheeni*
Cheeni bhi mehangi ho gayi hai.
Chai ke baghair subah nahi hoti.
Lekin ab chai bhi mehangi ho gayi hai.
Cheeni itni mehangi hai.
Ke log chai me cheeni kam daalte hain.
Kuch log to cheeni ke baghair hi chai peete hain.
*4. Ghee Aur Oil*
Ghee ke baghair khana nahi banta.
Oil ke baghair salan nahi banta.
Pehle 1 litre oil 200 ka tha.
Ab 1 litre oil 600 ka hai.
Ghareeb aurat sochti hai.
Aaj salan me oil kam daalun.
Taake kal ke liye bach jaye.
*5. Doodh*
Bachon ko doodh chahiye hota hai.
Bina doodh ke bacha kamzor ho jata hai.
Lekin doodh bhi mehanga ho gaya hai.
Maa paani mila kar doodh pilati hai.
Taake bacha bhookha na soye.
*6. Bijli Ka Bill*
Bijli ka bill sab se bara dushman hai.
Garmi me pankha chalao to bill zyada.
Sardi me heater chalao to bill zyada.
Na chalao to garmi lagti hai.
Chalao to bill aata hai.
Log kehte hain, bill dekh kar dil band ho jata hai.
Tankha 30000 hai.
Bill 15000 aa gaya.
Ab bacha hua 15000 me kya karen?
Kiraaya den, ya khana khayen?
Bachon ki fees den, ya dawai len?

*7. Gas Ka Bill*
Gas bhi mehangi ho gayi hai.
Sardi me gas nahi aati.
Garmi me gas ka bill zyada aata hai.
Aurat kehti hai, roti kaise pakayen?
Lakri jalayen to dhuaan hota hai.
Gas jalayen to bill aata hai.
*8. Petrol*
Petrol mehanga hua to sab mehanga hua.
Petrol se riksha chalta hai.
Petrol se bus chalti hai.
Petrol se truck chalta hai.
Truck se sabzi aati hai.
Truck se aata aata hai.
Jab petrol 10 rupay barhta hai.
To sabzi 20 rupay barh jati hai.
Aata 30 rupay barh jata hai.
Doodh 20 rupay barh jata hai.
*9. Nokri Aur Tankha*
Nokri milti nahi hai.
Milti hai to tankha kam hoti hai.
Tankha 20000 hai.
Kharcha 50000 hai.
Banda kare to kya kare?
Udhar le, ya chori kare?
Udhar lene wala bhi tang aa gaya hai.
Ab koi udhar bhi nahi deta.
*10. Ghareeb Ka Ghar*
Ghareeb ke ghar me 5 bache hain.
Baap mazdoori karta hai.
Maa kapre seeti hai.
Phir bhi mahina poora nahi hota.
Mahine ke aakhir me ghar me aata khatam ho jata hai.
Chawal khatam ho jate hain.
Bache bhooke so jate hain.
*11. Sabzi*
Sabzi bhi mehangi ho gayi hai.
Aloo pehle 50 ke the.
Ab aloo 150 ke hain.
Pyaaz pehle 60 ke the.
Ab pyaaz 200 ke hain.
Tamatar pehle 80 ke the.
Ab tamatar 300 ke hain.
Aurat bazaar jati hai.
Wo sochti hai, kya lun?
Aloo lun ya pyaaz lun?
Dono lun to paisay khatam ho jayenge.
Is liye wo sirf aaloo le kar aa jati hai.
Ghar me aaloo ka hi salan banta hai.
Subah aaloo.
Shaam aaloo.
Bache kehte hain, roz aaloo?
Maa kehti hai, beta paisay nahi hain.

*12. Gosht*
Gosht to ab sapna ban gaya hai.
Pehle har hafte gosht banta tha.
Ab Eid par bhi gosht mushkil se banta hai.
Murghi bhi mehangi hai.
Bakra to bohat mehanga hai.
Ghareeb banda gosht ki dukan ke samne se guzarta hai.
Wo dekh kar hi guzar jata hai.
Dil karta hai le lun.
Lekin jeb ijazat nahi deti.
*13. Daal Aur Chawal*
Daal ghareeb ka gosht kehlati thi.
Ab daal bhi gosht jaisi mehangi hai.
Chana daal pehle sasti thi.
Ab wo bhi 400 se upar hai.
Chawal pehle 150 ke the.
Ab chawal 350 ke hain.
Banda daal chawal bhi sakoon se nahi kha sakta.
*14. School Ki Fees*
School ki fees bhi barh gayi hai.
Kitabain bhi mehangi hain.
Copy bhi mehangi hai.
Uniform bhi mehanga hai.
Baap kehta hai, bache ko parhaun ya khana khilaun?
Dono zaroori hain.
Lekin paisa 1 hai.
Is liye bacha kabhi kabhi school nahi jata.
Wo baap ke saath kaam par chala jata hai.
*15. Dawai*
Bemar ho jao to dawai bhi mehangi hai.
Doctor ki fees bhi mehangi hai.
Pehle bukhar ki dawai 50 ki thi.
Ab wo 300 ki hai.
Ghareeb banda dawai ke baghair hi theek hone ki dua karta hai.
Wo kehta hai, Allah hi theek kar dega.
*16. Shadi*
Shadi karna bhi mehanga ho gaya hai.
Hall ka kiraaya lakhon me hai.
Khana hazaron me hai.
Kapre hazaron me hain.
Larka kehta hai, shadi kaise karun?
Larki ke baap kehte hain, jahez kahan se laun?
Is liye bohat si shadiyan late ho rahi hain.
*17. Kisan*
Kisan sab se zyada mehnat karta hai.
Wo gandum ugata hai.
Wo sabzi ugata hai.
Lekin us ko sahi daam nahi milta.
Bich me jo banda hai, wo paisa kha jata hai.
Kisan ko sasti khaad chahiye.
Kisan ko sasta beej chahiye.
Kisan ko sasta pani chahiye.
Agar kisan khush hoga, to mulk khush hoga.
Agar kisan khush hoga, to aata sasta hoga.
*18. Hukumat Kya Kare?*
Hukumat ko chahiye wo bijli sasti kare.
Hukumat ko chahiye wo petrol sasta kare.
Hukumat ko chahiye wo aate par tax kam kare.
Hukumat ko chahiye wo ghareeb ko rashan de.
Hukumat ko chahiye wo nokriyan de.
Agar hukumat ye kar degi.
To mehngai khud khatam ho jae gi.
*19. Aakhri Dua*
Ya Allah, hamare mulk par rehem kar.
Ya Allah, mehngai ko khatam kar.
Ya Allah, har ghareeb ko roti de.
Ya Allah, har beemar ko sehat de.
Ya Allah, har berozgar ko nokri de.
(Ameen).









Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.