Article.Pk - Write, Earn, and Be Heard

Shikast-e-muhabbat | Dastaan-e-Adhoori

Ye kahani sikhati hai ke mohabbat, bharosa aur wafadari kitni qeemti hain. Har apna kehne wala apna nahi hota, aur kabhi kabhi jis se sab se zyada mohabbat ho, usi...

AMAli Mughal2 November 2026
  • 25views
  • 1paid views
  • 1likes
Shikast-e-muhabbat | Dastaan-e-Adhoori

Ek aisi dastaan jo mohabbat se shuru hui aur intezar par khatam…

Har insan ki zindagi mein ek aisa shakhs zaroor aata hai jo chala toh jata hai, lekin uski zindagi ka sab se qeemti insaan ban kar reh jata hai. Afsos, woh shakhs kabhi uska ho nahi pata, chahe dil usay kitna hi kyun na chahe.

Aisa hi kuch ek insaan ke saath hua, jiske baare mein aaj main kuch likhne ja raha hoon.

Ali… naam tha us larke ka, jo apni khelne ki umar mein hi mohabbat kar baitha.

10 February 2021 — yeh woh tareekh thi jab usay ek aisa shakhs mila, jisne aahista aahista uske dil mein apni jagah bana li.

Lekin bechara Ali is baat se anjaan tha ke jis shakhs ko woh apni duniya banane ja raha hai, ek din wahi uski duniya ujaar dega.

Bichara pyar ka bhooka Ali! Zindagi ne usay aisi thokar maari ke ek waqt aisa bhi aaya jab usay mohabbat ke naam se dar lagne laga. Woh shakhs jo kabhi mohabbat ko apni zindagi ka sab se haseen ehsaas samajhta tha, aaj usi mohabbat se bachne ki koshish kar raha tha lekin phir har jata raha.

Ali ko kabhi apne ghar walon ka mukammal pyar naseeb nahi hua. Uske maa baap ek doosre se alag ho chuke thay aur Ali un dono ke darmiyan phans kar reh gaya tha. Talaaq ke baad faisla kuch aisa hua ke Ali ko apni walida ke saath rehne ki ijazat de di gayi. Mahine mein ek baar woh apne walid se milne jata tha. Bachpan se hi usne apni zindagi mein woh kami mehsoos ki thi jo shayad kisi bachay ko kabhi mehsoos nahi honi chahiye.

Jis umar mein bachay khilonon se khela karte hain,

Ali us umar mein apnon ki mohabbat ko tarasta tha.

Jahan bachay maa baap ke saaye mein pala karte hain,

Wahan Ali apni khushiyon ko khud hi samjhata tha.

Kuch arsa isi tarah guzarta raha. Phir ek din Amna naam ki larki uski zindagi mein aayi. Ali uske liye waqt ke saath is qadar pagal hota chala gaya ke usay Amna ke ilawa kuch nazar hi nahi aata tha.

Lekin shayad qismat ko kuch aur hi manzoor tha.

Ali aur Amna mein kabhi itni himmat nahi hui ke dono ek doosre se khul kar baat kar sakein. Ek doosre ko door se dekh kar jeena, ek doosre ki muskurahat dekh kar khush ho jana, bas yehi unki chhoti si duniya thi.

Lekin bichara Ali is baat se anjaan tha ke is kahani ka anjaam kya hone wala hai.

Teen saal tak dono ek doosre ko dekh kar jeete rahe. Phir ek waqt aisa aaya jab Amna ko Ali ke ilawa koi aur pasand aa gaya. Ali door khara sab kuch dekhta raha. Amna us se door hone ke liye wajahen dhoondhne lagi aur jab koi wajah na mili toh woh khud hi dheere dheere us se door hoti chali gayi.

Ali ke paas Amna ki sirf yaadein reh gayin. Woh uski tasveer dekh kar apne dil ko tasalli deta raha.

Jisay apni duniya samajh kar chaha

Usi ne mujhe tanha chhor diya

Main uski khushi ke liye khamosh raha,

Aur usne meri khamoshi ko bhula diya

Ek naya chehra, ek naya dhoka — Afza

Phir ek din kuch aisa hua jis ka Ali ne kabhi tasavvur bhi nahi kiya tha.

Afza naam ki ek larki uski zindagi mein aayi. Usne Ali se dosti karne ki khwahish zahir ki. Ali dosti ke liye maan toh gaya, lekin uske dil mein ek ajeeb sa darr tha. Shayad woh dobara kisi ko khone se darta tha.

Aur aakhir wohi darr uski haqeeqat ban gaya.

Afza ne Ali ki mohabbat aur tawajjo hasil karne ke liye apni maut tak ke jhoote naatak kiye. Kabhi kehti ke usay cancer hai, kabhi apni zindagi khatam hone ki baatein karti. Ye sab sirf Ali ki hamdardi aur mohabbat hasil karne ke liye tha.

Afza apne maqsad mein kamyab ho gayi aur bichara masoom Ali uski baaton mein aa gaya.

Ali ko laga shayad Afza woh larki hai jo usay samjhegi, uski baatein sunegi aur usay woh mohabbat degi jiski kami usay bachpan se mehsoos hoti aayi thi.

Kuch waqt tak sab kuch theek chalta raha. Lekin Afza dheere dheere Ali ki aankhon mein dhool jhonk kar usay istemal karti rahi.

Ali ko bohat kuch maloom tha, lekin ab woh dobara akela hone se darta tha. Yehi wajah thi ke woh sab kuch jaante hue bhi Afza se door nahi ho pa raha tha.

Baad mein Ali ko pata chala ke Afza uski tarah doosre larkon ke saath bhi aisa hi rawayya rakhti thi. Usne un logon se baat ki aur Afza ke baare mein bohat si sachaiyan jaan lein.

Bichare Ali ki soch sirf itni thi ke ek din woh Afza ko apna bana lega. Lekin Afza ne usay ek ke baad ek dhoka diya.

Waqt guzarta gaya aur Ali ke dil mein Afza ko lekar sawalon ka ek samandar jama hota gaya. Jab bhi woh un sawalon ke jawab maangne ki koshish karta, Afza baat samajhne ke bajaye jhagra shuru kar deti.

Ali din raat rota tha. Allah se dua karta, kabhi apni qismat se sawal karta aur kabhi khud se poochta ke aakhir uske saath hi aisa kyun hota hai?

Uske ghar ke masail pehle hi bohat thay, lekin phir bhi uske liye Afza ki ahmiyat kam nahi hoti thi.

Ali ko koi aisa nahi mila tha jo usay dil se pyar karta. Woh bas ek aisi larki chahta tha jo uska haath thaam kar hamesha uske saath chalne ka wada kare.

Na daulat ki khwahish thi, na kisi shohrat ka khwab tha,

Bas ek shakhs ki mohabbat hi uska sab se bara khwab tha.

Woh har raat khud se ek hi sawal karta raha,

Ke aakhir meri zindagi mein pyar itna kam kyun tha?

Ramazan 2026 — Hira ka aana

Waqt isi tarah guzarta raha. Ali apni zindagi ke masail aur Afza ke rawayye ke darmiyan uljha raha.

Phir Ramazan 2026 mein Ali ki mulaqat ek aisi larki se hui jo waqai usay samajhne ki salahiyat rakhti thi.

Uska naam Hira tha.

Hira waqai apne naam ki tarah ek heere jaisi thi.

Ali aur Hira ki mulaqat ek online game WePlay mein hui. Hira ki apni zindagi mein bhi kuch masail thay, khaas taur par mohabbat se jude hue. Ali ne uski madad ki aur uske masail suljhane mein uska saath diya.

Dono kuch din tak baat karte rahe. Phir ek din Ali ne apni aankhon ki tasveer upload ki. Hira ne jab woh tasveer dekhi toh uske dil mein Ali ke liye ek khaas ehsaas paida hone laga. Shayad woh Ali se mohabbat karne lagi thi, lekin usne kabhi apne dil ki baat zahir nahi ki.

Ali aur Hira ek saath bohat achay lagte thay.

WePlay par voice rooms ek aisi jagah hain jahan log ek saath baith kar baatein kar sakte hain. Ali aur Hira bhi aksar wahan ek doosre ke saath waqt guzara karte thay.

Dheere dheere unki dosti gehri hoti gayi.

Lekin phir ek din kuch aisa hua jisne Ali ko sajdon mein rula diya.

Ek jhoot jisne sab kuch badal diya

Ali ka ek cousin tha, jiska naam Aman tha.

Aman ne Ali aur Hira ko ek saath dekha aur ja kar Afza ko bata diya. Usne Afza se kaha ke Ali ab us se mohabbat nahi karta, balkay kisi doosri larki ko chahta hai.

Bas, yehi ek baat Ali aur Afza ke darmiyan doori ka sabab ban gayi.

Jab Afza ne Ali ko ye sab bataya toh Ali ro pada. Usne girgira kar Afza ko rokne ki koshish ki. Har mumkin tareeqa apnaya ke kisi tarah woh usay samjha sake.

Lekin Afza ka dil shayad pehle hi us se bhar chuka tha.

Kuch din woh Ali ke saath rahi aur phir usay chhor kar chali gayi. Ali ko takleef is baat ki bhi thi ke jis shakhs ko woh itni ahmiyat deta raha, usne chand hi dinon mein apni zindagi mein kisi aur ko jagah de di.

Ali ne apna sara dard Hira ko bataya.

Hira ne us waqt Ali ka saath diya. Usay rone se roka, uski baatein sunein aur usay sambhalne ki koshish ki. Hira dheere dheere Ali ko itni mohabbat aur tawajjo dene lagi jitni usne kabhi apni zindagi mein mehsoos nahi ki thi.

Jahan chaar saal tak koi Ali ko mukammal mohabbat nahi de saka tha, wahan Hira ne chand hi dinon mein uske dil ko sukoon dena shuru kar diya.

Woh shakhs jo muddat se tanhai mein rota raha,

Ek anjaan chehre mein apna sukoon dhoondta raha.

Jis dil ko kisi ne samajhne ki koshish na ki,

Us dil ko Hira chand lamhon mein samajhti rahi.

Woh izhaar jo zindagi ka haseen tareen din ban gaya

Ali aur Hira ghanton ghanton baatein karne lage. Hira ne Ali ke dil se purane dukh kam kar diye aur dheere dheere uski zindagi ka sab se qeemti heera ban gayi.

Shayad Ali ko ab pehli baar sachchi mohabbat hone lagi thi.

Lekin ajeeb baat ye thi ke na Hira apne dil ki baat keh rahi thi aur na Ali apne jazbaat ka izhaar kar pa raha tha.

Dono ke dil mein ek hi darr tha. Kahin izhaar karne se unke darmiyan sab kuch badal na jaye. Kahin jo khoobsurat rishta bana hai, woh bhi toot na jaye.

Lekin phir ek din aisa aaya jisne Ali ki zindagi badal di.

Hira ka pehle se ek rishta tha. Woh larka dobara uski zindagi mein aa gaya aur Hira se wapas rishta jorne ki koshish karne laga.

Hira ne Ali se mashwara lene ka socha. Usne Ali se poocha ke kya usay us larke ke paas wapas chale jana chahiye?

Ali ke liye ye sawal kisi saza se kam nahi tha.

Woh larki jise woh dil hi dil mein apna samajhne laga tha, aaj usi se pooch rahi thi ke kya woh kisi aur ki ho jaye?

Ali ne apne dil par pathar rakh kar jawab diya:

“Jo aapka dil chahe, woh karein.”

Lekin us jawab ke peeche chhupe dard ko sirf Ali hi jaanta tha.

Uski aankhon se aansu behne lage. Uska jism jaise bejaan hota ja raha tha. Woh andar hi andar toot raha tha, magar Hira ke saamne khamosh tha.

Jis se mohabbat hai, usi se poochta hoon, kya kisi aur ka ho jaun?

Woh bhi muskura kar kehti hai, haan, ab kisi aur ko apna bana lo.

Qatal kar ke mere jazbaat ka, mashwara bhi wohi deti hai,

Kisi aur se rishta jor loon, ye baat bhi wohi kehti hai.

Ali ka rawayya badalne laga tha. Hira ne mehsoos kar liya ke kuch toh zaroor hua hai. Usay samajh aane laga ke Ali shayad us se mohabbat kar baitha hai.

Hira ne Ali se baar baar poocha ke aakhir baat kya hai, lekin Ali apne jazbaat chhupata raha.

Phir ek waqt aisa aaya jab Ali khud ko rok na saka.

Woh phoot phoot kar rone laga aur aakhir usne Hira ke saamne apni mohabbat ka izhaar kar diya.

Aur woh din Ali ki zindagi ka sab se khoobsurat din ban gaya.

Aaj bhi jab Ali us din ko yaad karta hai toh uske chehre par muskurahat aa jati hai.

Usay lagta hai jaise zindagi ne aakhirkaar uski sun li ho.

Dono ek doosre ke saath bohat khush thay. Unki baatein, unka pyar, unke jazbaat, sab kuch khoobsurat tha.

Ali ko lagne laga tha ke shayad ab uski zindagi mein bhi khushiyan rehne lagi hain.

Mohabbat ke darmiyan paida hoti dooriyan

Lekin waqt hamesha ek jaisa nahi rehta.

Dheere dheere Ali aur Hira ke darmiyan rishta kamzor hone laga.

Hira ko dosti karna bohat pasand tha. Woh alag alag larkon se dosti karti aur unse baatein karti thi. Aisa nahi tha ke Hira Ali se mohabbat nahi karti thi. Woh bhi Ali ko bohat chahti thi, lekin uska dosti karne ka andaaz Ali ke liye takleef ka sabab banne laga.

Ali Hira ko kisi doosre larke ke saath dekh kar bardasht nahi kar pata tha. Woh usay rokta, kabhi gussa karta aur kabhi samjhane ki koshish karta.

Lekin Hira Ali ke jazbaat ko us tarah samajh nahi paati thi jis tarah Ali chahta tha.

Dono ke darmiyan jhagre barhne lage. Har do din baad ek doosre ko chhor dena, phir wapas aa jana, yehi unki zindagi ka hissa banta gaya.

Ali Hira ke liye rota, uske saamne minnatein karta aur baar baar samjhata ke woh aisa na kiya kare.

Lekin har baar baat samajhne ke bajaye ek naya jhagra shuru ho jata.

Phir ek din Ali ne Hira ki wafadari parakhne ka faisla kiya.

Usne ek naya account banaya aur Hira se kisi anjaan shakhs ki tarah baat karna shuru kar diya. Woh dekhna chahta tha ke Hira uske saath kitni wafadar hai.

Lekin jo kuch usne dekha, usne Ali ko andar tak hila diya.

Usay laga ke jis mohabbat ko woh sach samajh kar jee raha tha, shayad woh uski soch jaisi nahi thi.

Teen baar usne apna dil kisi ke hawale kiya tha aur har baar usay dukh hi mila tha.

Hira baaki sab se kuch alag thi. Usay apni ghalti ka ehsaas hone laga tha. Usay samajh aa gaya tha ke usne Ali ke saath jo kiya woh theek nahi tha.

Lekin tab tak bohat der ho chuki thi.

Hira Ali ke liye bechain hone lagi. Woh usay wapas chahti thi, lekin ab Ali ke dil mein pehle jaisi mohabbat nahi rahi thi.

Phir bhi Ali Hira ke baghair reh nahi pata tha. Woh baar baar uske paas laut jata.

Lekin un dono ke darmiyan jo kuch ho chuka tha, uske baad kuch bhi pehle jaisa nahi reh saka.

Woh jab bhi dobara ek saath hote, kuch hi waqt baad phir alag ho jate.

Woh paas aati toh dil phir se machal jata,

Woh door jati toh har khwab bikhar jata.

Mohabbat toh dono ko thi ek doosre se,

Magar bharosa har baar kahin kho jata.

Aakhri alvida

Phir ek din Ali ne faisla kar liya ke ab woh Hira se door ho jayega.

Usne socha ke shayad ab akelay zindagi guzarna hi uske liye behtar hai.

Usne Hira ko hamesha ke liye alvida kaha aur apna raasta chun liya.

Lekin kisi ko alvida kehna aur usay dil se bhula dena, dono alag baatein hain.

Ali ke liye raat guzarna bohat mushkil ho gaya. Jaise hi raat hoti, Hira ki yaadein, uski baatein aur uski muskurahat Ali ke zehan mein ghoomne lagti.

Ali ne bohat koshish ki ke Hira ke baare mein na soche, lekin har koshish nakaam hoti gayi.

Woh apne khayalon se larta raha aur dheere dheere uski zehni halat kharab hone lagi. Uski zindagi par udaasi ka gehra asar hone laga.

Ab haalat kuch aisi thi ke jab bhi woh mobile uthata, usay Hira yaad aa jati. Jab bhi aankhein band karta, uske zehan mein Hira ka chehra aa jata. Kisi se baat karta toh Hira ki kahi hui baatein yaad aane lagti.

Usay har jagah Hira hi nazar aati thi.

Usne apne ghar walon se baat karna bhi kam kar diya. Apni khushi, apni sehat aur apni zarooraton ki parwah karna chhor di.

Lekin shayad qismat abhi bhi Ali ka imtehaan lena chahti thi.

Raat bhar jaag kar uski yaadon ko sambhalta raha,

Apne hi dil se uske lautne ki umeed karta raha.

Jis shakhs ko khud se door kiya tha kabhi,

Usi ke intezar mein har din guzarta raha.

Hira ka dobara lautna

Phir ek din kuch aisa hua jiski Ali ne umeed bhi nahi ki thi.

Hira ka message aaya.

Ali ne jaise hi uska naam screen par dekha, uski aankhon se aansu nikal aaye. Woh kuch pal tak bas us message ko dekhta raha.

Dil chahta tha ke foran jawab de, usay bataye ke woh kitna yaad karta hai. Lekin usne khud par qaboo rakha aur Hira ko jawab diya.

Hira ne baat karte hi rona shuru kar diya. Usne Ali ko apni taraf se sab kuch samjhane ki koshish ki. Usne bataya ke aakhir usne Ali ke saath aisa kyun kiya tha.

Ali ko kuch samajh nahi aa raha tha.

Usne Hira se sirf ek sawal kiya:

“Aakhir mera qusoor kya tha?”

Hira ne bataya ke Ali bhi kisi doosri larki se baat karta tha aur usay apna samajhne laga tha. Hira ne Ali ko kisi larki se baat karte dekha tha aur usay ye dhoka mehsoos hua.

Lekin Hira ne shayad ye nahi dekha ke woh khud kya kar rahi thi.

Sach ye tha ke Ali ne us larki ko sirf apni dost samjha tha aur baad mein us se bhi hamesha ke liye rishta khatam kar diya tha.

Lekin Hira ke liye Ali ki woh baat sab se bara qusoor ban gayi.

Ali ne apni ghalti maani. Usne Hira se maafi maangi aur apni taraf se sab kuch theek karne ki koshish ki.

Lekin ab Hira ka rawayya badal chuka tha.

Woh Ali ko pehle jaisi mohabbat, ahmiyat aur waqt nahi de rahi thi. Ali ko aisa mehsoos hone laga jaise woh mohabbat nahi, balkay kisi ke saamne mohabbat ki bheek maang raha ho.

Woh rota, Hira ke saamne apne jazbaat zahir karta, lekin Hira uske aansuon ko samajhne ki koshish nahi karti thi.

Ali ne maafi maangi, apni ghalti tasleem ki, lekin usay woh jawab aur woh mohabbat naseeb na hui jiski usay umeed thi.

Aakhirkaar unka rishta ek baar phir khatam ho gaya.

Main apni har ghalti ka iqraar karta raha,

Woh meri har khata ko yaad karti rahi.

Main uske ek jawab ke liye rota raha,

Woh meri khamoshi ko bhi nazarandaaz karti rahi.

Aaj ka Ali

Aur aaj…

Bichara Ali uski ek tasveer dekh kar muskura deta hai.

Hira shayad kisi aur ki zindagi mein khush hai. Kisi aur ke saath apne naye khwab saja rahi hai. Kisi aur ke saath apna waqt guzar rahi hai.

Aur Ali?

Woh aaj bhi apni purani yaadon mein kahin kho gaya hai.

Gehri raaton mein uski aankhein laal ho jati hain. Woh Hira ki purani baatein parhta hai, uski tasveerein dekhta hai aur apne guzre hue waqt ko yaad karta hai.

Usay yaad aata hai ke kaise dono ghanton baatein kiya karte thay. Kaise ek doosre ki chhoti chhoti baaton par khush ho jate thay. Kaise ek waqt tha jab Hira uski poori duniya hua karti thi.

Ali ke dil mein aaj bhi Hira ke liye bohat kuch hai.

Shayad woh ab bhi usay chahta hai. Shayad uske dil ka ek hissa aaj bhi usi ka intezar kar raha hai.

Lekin ab Ali ke paas na woh pehle jaisi muskurahat hai aur na hi kisi se apne dil ki baat kehne ki himmat.

Uski kahani ka sab se bara dukh ye nahi ke Hira uski zindagi se chali gayi.

Uska sab se bara dukh ye hai ke Hira ke jaane ke baad Ali khud bhi pehle jaisa nahi raha.

Aakhri safha — Ek adhuri mohabbat

Zindagi mein kuch log aise hote hain jo hamare saath rehne ke liye nahi aate, balkay humein kuch aise ehsaas de kar chale jate hain jo hum zindagi bhar nahi bhool pate.

Hira bhi Ali ki zindagi mein shayad aisi hi ek shakhsiyat thi.

Usne Ali ko hansna bhi sikhaya aur phir usi hansne wale Ali ko rona bhi sikha diya.

Ali ne apni zindagi mein bohat kuch khoya. Bachpan mein maa baap ka saath, jawani mein Amna ki mohabbat, Afza se umeed aur aakhir mein Hira ke saath dekhe hue khwab.

Har baar usne socha ke shayad ab sab theek ho jayega. Har baar usne kisi naye shakhs ko apni zindagi mein jagah di.

Lekin har baar uska dil pehle se zyada zakhmi hota gaya.

Aaj Ali ne ek faisla kiya hai.

Woh ab kisi se apni mohabbat ki bheek nahi maangega. Woh ab kisi ke saamne apne aansuon ka hisaab nahi dega. Woh apni zindagi ko dobara jeene ki koshish karega.

Lekin iska matlab ye nahi ke woh Hira ko bhool gaya hai.

Kuch mohabbatein bhulai nahi jateen. Woh bas dil ke kisi kone mein khamoshi se rehne lagti hain.

Shayad ek din Ali dobara muskura sake. Shayad ek din usay apni zindagi mein sukoon mil jaye. Shayad ek din woh kisi ko bina dare apna keh sake.

Lekin us din bhi, jab woh apni zindagi ke purane panne paltega, usay ek naam zaroor yaad aayega.

Hira.

Woh Hira jo kabhi uski sab se khoobsurat khushi thi.

Woh Hira jiske liye Ali ne na jaane kitni raatein jaag kar guzari thin.

Woh Hira jise Ali ne apni zindagi ka sab se qeemti heera samjha tha.

Aur woh Hira jise Ali apni kahani ka hissa toh bana saka, lekin apni zindagi ka humsafar nahi bana saka.

Aakhir mein Ali ke paas sirf yaadein reh gayin, kuch purani tasveerein aur ek aisa dil jo ab bhi kisi ko apna kehne se darta hai.

Woh kisi aur ke saath apni duniya basa gayi,

Aur meri duniya meri aankhon mein hi reh gayi.

Main uske lautne ki umeed mein khud ko bhool gaya,

Woh meri kahani ka sab se haseen hissa ban kar reh gayi.

Aur shayad isi liye Ali ki kahani ka naam Shikast-e-muhabbat rakha gaya.

Kyunke is kahani mein mohabbat toh bohat thi, magar kisi ko mukammal taur par hasil karne ki kismat nahi thi.

Kuch kahaniyan khatam nahi hotin… bas unhein likhne wala ek din thak jata hai

The End

Ya shayad ek aur adhure intezar ki ibtida.

AM
Written by
@ali_mughal · 1 articles · Joined Nov 2026

Ishq mein nakaam, zindagi se bezaar.❤️‍🩹

Comments 0

Sign in to join the conversation.

No comments yet. Be the first to say something.

Keep reading

The Don of Karachi: A Real Story   Karachi, the heart of Pakistan’s economy, is a city that never sleepsLifestyle44.6kviews

The Don of Karachi: A Real Story Karachi, the heart of Pakistan’s economy, is a city that never sleeps

The Don of Karachi – A Real Story Rehman Dakait, born Abdul Rehman Baloch, was one of Karachi’s most feared yet respected gangsters. Rising from the crime-ridden streets of...

ACASSAD CHISHTI
  • 44.6kviews
  • 19 Mar 2025published
Mehndi Designs 2026: Latest Trends and Beautiful Patterns for Every OccasionLifestyle27.3kviews17paid views

Mehndi Designs 2026: Latest Trends and Beautiful Patterns for Every Occasion

Explore the latest mehndi designs for 2025. Trending patterns including minimalist, Arabic, mandala, and floral styles.

Dduraj
  • 27.3kviews
  • 17paid views
  • 1comments
  • 1 minminute read
  • 23 Feb 2026published
Simple Mehndi Designs 2025: Easy Patterns for BeginnersLifestyle12.2kviews26paid views

Simple Mehndi Designs 2025: Easy Patterns for Beginners

Learn easy simple mehndi designs perfect for beginners. Step-by-step patterns for fingers, hands, and everyday wear.

Dduraj
  • 12.2kviews
  • 26paid views
  • 1 minminute read
  • 12 Jan 2026published
Top 5 Best Eid Mehndi Designs for 2026 You’ll LoveLifestyle11.9kviews1paid views

Top 5 Best Eid Mehndi Designs for 2026 You’ll Love

Elevate your Eid look! Discover the Top 5 Mehndi Designs for Eid-ul-Fitr 2026, from minimalist chic to full-hand Arabic patterns. Get inspired now.

AAAbid ali
  • 11.9kviews
  • 1paid views
  • 19 Mar 2026published
Eid Fashion Trends 2026 in Pakistan: A Perfect Blend of Tradition & ModernityLifestyle9.8kviews

Eid Fashion Trends 2026 in Pakistan: A Perfect Blend of Tradition & Modernity

Eid Fashion Trends 2026 in Pakistan: A Perfect Blend of Tradition & Modernity. Explore the latest in-demand designs and trends for this Eid, from kids' to women's outfits, along with...

AAAbid ali
  • 9.8kviews
  • 23 Feb 2026published
Abdul Sattar Edhi: The Angel of Mercy Abdul Sattar Edhi was one of Pakistan’s most revered humanitarians and philanthropists. Known as the “Angel of Mercy,” he dedicated his entire life to sLifestyle12.1kviews

Abdul Sattar Edhi: The Angel of Mercy Abdul Sattar Edhi was one of Pakistan’s most revered humanitarians and philanthropists. Known as the “Angel of Mercy,” he dedicated his entire life to s

Abdul Sattar Edhi remains a symbol of hope, compassion, and humanity. His story is a reminder that one individual’s determination and kindness can change the world. Pakistan, and indeed the...

ACASSAD CHISHTI
  • 12.1kviews
  • 26 Mar 2025published