Kabi kabi zindagi me hum ese logon se milte hain jo hume kisi kitab, lecture yan naseehat se zyada sikha dete hain. Unki zindagi khud ek misal ban jati ha. Unain dekh kar mehsus hota ha ke acha insan hona sirf ek khubi nahi, balke ek puri zimmedari ha.
Aj main ek ese hi mard ke bare me likhna chahti hun.
Main kisi bi insan par itni jaldi bharosa nahi karti. Mere liye kisi ko acha samajna yan uske kirdaar par yaqeen kar lena mamuli baat nahi. Main sirf alfaz yan zahri rawaiye se mutasir nahi hoti. Jab tak muje apne dil aur zehen se kisi ke kirdaar ka yakeen na ho jai, main us par bharosa nahi karti.
Lekin ek ese mard ko janne aur samajne ke baad mere dil me unke kirdaar ke liye izzat aur yakeen paida hua.

Main unki zindagi ke har pehlu ki gawah hone ka dawa nahi karti, lekin jitna unke kirdaar ko dekha aur samjha ha, usne mere zehen me ek sawal zarur paida kiya:
Akhir ek behtareen mard kesa hota ha?
Kya wo jo bohat paisa kamata ho? Jo mehngi garhi me safar karta ho? Jiske paas rutba, taqat aur shohrat ho? Yan phir wo jo apne paas maujood ikhtiyar ke bawajood dusron ke sath narmi, izzat aur insaf se pesh aye?
Mere nazdeek iska jawab dusra ha...
Mard ki sab se barhi khubsurti uska ikhlaaq ha
Kisi insan ka asal kirdaar us waqt samne ata ha jab uske samne koi kamzor ho, koi zaruratmand ho, koi us se ikhtilaf rakhta ho yan koi esa shakhs ho jis se use koi faida milne wala na ho.

Acha ikhlaaq sirf apne se barhon ko salam karne yan mehfil me achi baatain karne ka naam nahi. Asal ikhlaaq ye ha ke insan apne se choton ko bi utni hi izzat de jitni apne barhon ko deta ha.
Jis mard ka lehja uske ghar walon ke liye bi narm ho aur ajnabi ke liye bi mohtaram ho, uski shakhsiyat me ek alag hi kashish hoti ha.
Mene jis shakhs ko apni is tehreer ki misaal banaya ha, uski sab se numaya khoobi bi yahi ha: uska ikhlaaq.
Wo sirf apne khaas logon ke sath nahi, balke dusron ke sath bi ache rawaiye aur insaniyat ko ehmiyat dete hain.
Kunke kisi insan ki achai ka pata sirf is baat se nahi chalta ke wo apnon ke liye kya karta ha, balke is se bi chalta ha ke wo un logon ke sath kesa bartao karta ha jinse use koi matlab nahi.
Ek baap: Sirf zimmedari nahi, ek mehfooz saya
Baap hona sirf ghar ke kharche uthana nahi hota. Baap ka kirdaar bachon ki zindagi me ek ese saye ki taran hota ha jahan unain apni baat kehne ka haq, galti karne par samajne ka moqa aur mushkil me sahara milta ha.
Bache apne baap ki sirf baatain nahi dekhte, unka rawaiya bi seekhte hain.
Agar baap apne ghar me izzat se baat karta ha, to bache izzat dena seekhte hain.
Agar baap apni galti maan sakta ha, to bache bi apni galti tasleem karna seekhte hain.
Ek acha baap apne bachon ko sirf duniya me kamyab dekhna nahi chahta, balke unain ek acha insan banta hua bi dekhna chahta ha.
Aur shayad yehi baap hone ki sab se khoobsurat zimmedari ha.
Ek bhai: Hifazat ke sath izzat aur bharosa
Bhai ka rishta bi apni jaga bohot khubsurat ha. Lekin bhai hone ka matlab sirf behan ki hifazat karna nahi, balke uski soch, uske faislon aur uski izzat ko bi samajna ha.
Ek acha bhai apni behan ko sirf pabandiyun me nahi rakhta. Wo uski himmat banta ha, uski baat sunta ha aur uske liye esa mahol banata ha jahan wo apne jazbaat aur pareshaniyan bina dare share kar sake.
Asal hifazat wo hai jisme mohabat ho, bharosa ho aur izzat bi.
Ek hamsafar: Jahan mohabat ke sath sukoon bi ho
Ab baat karte hain us rishte ki jahan ek mard ka kirdaar bohat gehre mani rakhta ha: hamsafar ka rishta.
Mere nazdeek ek aurat ke liye mard ki sab se barhi kashish sirf uska chehra, dressing, paisa yan personality nahi hoti. Ye sab apni jaga achi cheezein hain, lekin waqt ke saath jo cheez dil me apni jaga banati ha, wo uska rawaiya hota ha.
Ek mard jo apni humsafar ki baat tawajo se sunta ho, uski choti choti khawaishon ko ehmiyat deta ho, uski khushi me khush hota ho aur uske udas hone par uska haal puchta ho, wo apne rishte ko sirf alfaz se nahi, amal se khubsurat banata ha.
Muhabat ka matlab sirf mehenge gifts, dinners wagera nahi. Kabi thakan ke baad haal puch lena, kabi bina kisi khas waja ke tareef kar dena, kabi kisi choti si khawish ko yaad rakhna bi mohabat ka izhar hota ha.
Aur ek baat jo muje bohat khubsurat lagti ha:
Jab koi mard apne humsafar se sirf duniya ke safar me sath rehne ki nahi, balke Jannat me bi uska sathi banne ki dua karta ho, to uski mohabat me ek rohani pehlu bi shamil ho jata ha.
Ye sirf ek khawaish nahi, balke ek dua ha.
Ese rishte me ikhtilaf bi ho sakta ha, narazgi bi, lekin apni anaa ko rishte se bahra na samajna bohat zaruri ha. Har behas jeetna zaruri nahi hota. Kabi apni galti maan lena, maafi maang lena aur dusre ka dil rakh lena bi mohabat ki jeet hoti ha.
Jis mard me ye samaj ho, wo apni humsafar ko sirf mohabat nahi deta, use apne sath izzat aur emotional security ka ehsas bi deta ha.
Mushkil waqt me imaan aur sabr ka imtehan
Kisi mard ki shakhsiyat ka asal imtehan sirf ache dinon me nahi hota.
Zindagi hameshan ek jesi nahi rehti. Kabi halaat insan ke haq me hote hain, kabi uske khilaf. Kabi sab kuch asan lagta ha aur kabi apne hi masail insan ko andar se thaka dete hain.
Jis shakhs ki misaal main de rahi hun, uski ek aur khoobi muje bohat mutasir karti ha.
Unki zindagi me bi mushkil waqt aye, lekin unon ne apne masail ko khud sambhalne ki koshish ki. Apne pukhta imaan aur Allah par bharose ke saath halaat ka samna kiya.
Yahan ek baat samajna zaruri ha: mazboot hone ka matlab ye nahi ke insan kabi pareshan nahi hota, kabi rota nahi yan use kisi sahare ki zaroorat nahi hoti.
Mazbooti ka matlab ye ha ke mushkil ke bawajud insan apne usul, imaan aur kirdaar ko na chorhe.
Allah par bharosa rakhna, apni koshish jaari rakhna aur halaat ke samne apni insaniyat ko zinda rakhna bi ek bohat bari khoobi ha.
Aur haan, har masla akele sehna zaroori nahi. Zaroorat parhne par apnon se madad lena bi kamzori nahi, samajdari ha.
Woh mard jo dusron ke liye bi asani banta ha
Ek aur khubi jo kisi shakhs ko andar se khubsurat banati ha, wo ha dusron ke kaam ana.
Zaruratmand ki madad karna, kisi pareshan insan ki baat sun lena, kisi kamzor ko neecha na dikhana aur kisi ke bure waqt me uska sahara ban jana—ye sab wo amal hain jo insan ke kirdaar ko numaya karte hain.
Mard ki kamyabi sirf is me nahi ke uska apna ghar khush-haal ho. Is me bi hai ke uski waja se kisi dusre ke ghar me bi asani aye.
Kabi kisi ki madad paison se hoti ha, kabi waqt dene se aur kabi sirf izzat se baat karne se.
Har neki ka apna maqam ha.

Aakhir ek ideal mard kaisa hona chahiye?
Mere liye ideal mard wo nahi jo kabi galti na kare.
Ideal mard wo ha jo apni galti ko tasleem kare, apne rawaiye ko behtar banane ki koshish kare, apne ghar walon ke haqooq samje, apni humsafar ko izzat de, apne bachon ke liye achi misaal bane aur dusron ke sath insaniyat se pesh aye.
Wo apni taqat ka istemal dabane ke liye nahi, sambhalne ke liye kare.
Wo apni mohabbat ko qabza na banaye, balke bharosa banaye.
Wo apni kamyabi ko takabur na banne de, balke shukar ka zariya banaye.
Aur jab zindagi uska imtehan le, to wo apne imaan, sabr aur kirdar ko yaad rakhe.
Main jis shakhs ko janti hun, unki zindagi ke hi in pehluon ne muje ye sochne par majbur kiya ha ke ek acha mard hona kitni khubsurat zimmedari ha.
Ho sakta ha wo khud apni in khubiyun ko koi khas baat na samajhte hn. Lekin kabi kabi insan ka aam sa rawaiya bi kisi dusre ke liye zindagi ka bohat barha sabaq ban jata ha.
Akhir me main bas itna kehna chahti hoon:
Mard ki asal khubsurti uski awaz ki bulandi me nahi, uske kirdaar ki bulandi me hoti ha. Uski asal taqat dusron ko jhukane me nahi, balke apne ikhtiyar ke bawajud dusron ko izzat dene me hoti ha.
Aur shayad duniya ko ese hi mardon ki zarurat ha—jo sirf ache dikhte nahi, balke ache insan hote bi hain.
— Rooh Ki Awaz








Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.