Haldi Doodh Kya Hai?
Haldi Doodh Ke 15 Hairat Angez Fayde -
Haldi doodh hamare gharo me sadiyo se istemal ho raha hai. Hamari dadi amma jab bhi kisi ko chot lagti thi, khansi hoti thi ya neend nahi aati thi, to foran haldi wala doodh bana kar pila deti thi. Us waqt hume samajh nahi aata tha ke is peele doodh me aisa kya hai, lekin aaj science ne bhi maan liya hai ke haldi doodh duniya ke behtareen qadarti nuskho me se ek hai.
Haldi me ek khaas cheez hoti hai jise Curcumin kehte hain. Yehi cheez haldi ko peela rang deti hai aur isi me sari taqat chupi hoti hai. Jab haldi ko doodh ke saath milaya jata hai, to iski taqat aur bhi barh jati hai, kyunke doodh me mojood charbi curcumin ko jism me jazb hone me madad deti hai.Agar aap roz raat sone se pehle ek glass haldi wala doodh peena shuru kar dein, to sirf 15 din me aap ko apne jism me wazeh farq nazar aayega.
Haldi Doodh Ke 15 Hairat Angez Fayde
1. Joron Aur Haddiyon Ke Dard Ka Behtareen Ilaj
Aaj kal 30 saal ki umar ke baad hi ghutno aur joron me dard shuru ho jata hai. Iski wajah jism me sozish hoti hai. Haldi doodh me mojood curcumin dard ki dawaiyo ki tarah kaam karta hai, lekin iska koi nuksan nahi hota. Jo log roz haldi doodh peete hain, unke joron ka dard, kamar ka dard aur gathiya ka dard aahista aahista khatam ho jata hai. Buzurg logo ke liye to ye doodh kisi naimat se kam nahi hai.2. Gehri Aur Pursukoon Neend Aati Hai
Agar aap ko raat ko neend nahi aati, ya bar bar aankh khul jati hai, to haldi doodh aap ke liye behtareen hai. Haldi doodh peene se dimagh pursukoon ho jata hai aur neend ka harmone barh jata hai. Raat ko sone se 30 minute pehle garam haldi doodh pee kar soyen, aap ko bachon jaisi gehri neend aayegi.
3. Khansi, Nazla Aur Zukam Se Fori Nijat
Sardi ke mausam me khansi aur zukam har ghar ki kahani hai. Haldi doodh iska sab se purana aur azmaya hua ilaj hai. Haldi me anti-bacterial aur anti-viral khasiyat hoti hai jo gale ke infection ko khatam karti hai. Agar khansi zyada hai, to haldi doodh me thodi si kali mirch aur ek chamach shehad mila kar peeyen.

4. Wazan Kam Karne Me Madadgar
Jo log wazan kam karna chahte hain, unke liye haldi doodh bohat mufeed hai. Haldi jism me charbi ko jama hone se rokti hai aur metabolism ko tez karti hai. Jab metabolism tez hota hai, to khana jaldi hazam hota hai aur wazan barhta nahi. Raat ko meetha doodh peene ki bajaye haldi doodh peeyen, is se bhook bhi kam lagti hai.
5. Chehre Ki Khubsurti Aur Nikhar
Haldi ko hamesha se khubsurti ke liye istemal kiya jata raha hai. Haldi doodh peene se khoon saaf hota hai, jis se chehre par daane, pimple aur dagh dhabbe khatam ho jate hain. Haldi doodh peene wali larkiyo ka chehra qudrati tor par chamakdar aur saaf nazar aata hai.6. Zehni Dabaav Aur Depression Kam Karta Hai
Aaj kal har doosra shakhs zehni dabaav, ghabrahat aur depression ka shikar hai. Haldi doodh dimagh ke liye bohat acha hai. Is me mojood curcumin dimagh ke us hisse ko mazboot karta hai jo khushi ke harmone banata hai. Roz haldi doodh peene se mood acha rehta hai, gussa kam aata hai aur dimagh halka mehsus hota hai.
7. Hazma Aur Maiday Ke Liye Behtareen
Agar khana hazam nahi hota, gas banti hai, ya pait phool jata hai, to haldi doodh iska hal hai. Haldi maiday ki jalan ko kam karti hai aur hazme wale enzymes ko barhati hai. Khana khane ke baad bhari pan mehsus ho, to haldi doodh pee lein. Ye maiday ko saaf karta hai aur kabz ko bhi door karta hai.8. Jigar Ko Saaf Karta Hai
Hamara jigar din bhar zehrile mado ko saaf karta hai. Haldi doodh jigar ki safai me madad karta hai aur jigar ko mazboot banata hai. Jin logo ko jigar me charbi hai, unke liye haldi doodh bohat faidemand hai.
9. Dil Ki Bimariyo Se Bachata Hai
Haldi doodh khoon ki naliyo me charbi jamne se rokta hai. Is se dil ka daura aur blood pressure ka khatra kam ho jata hai. Jo log roz haldi doodh peete hain, unka cholesterol control me rehta hai
10. Chot Aur Zakhm Jaldi Bharta Hai
Bachpan me jab chot lagti thi, to ammi haldi doodh pila deti thi. Iski wajah ye hai ke haldi khoon ko saaf karti hai aur zakhm ko andar se bharti hai. Operation ke baad bhi doctor haldi doodh peene ka mashwara dete hain.

11. Qoot-e-Mudafiat (Immunity) Barhata Hai
Haldi doodh peene se jism ki quwwat-e-mudafiat barh jati hai. Aap ko bar bar nazla, zukam aur bukhar nahi hota. Ye jism ko bimariyo se larne ki taqat deta hai.
12. Sugar Aur Baalon Ke Liye Mufeed
Haldi khoon me sugar ki miqdar ko control me rakhti hai. Sugar ke mareez agar baghair cheeni ke haldi doodh peeyen, to unki sugar control me rehti hai. Haldi doodh peene se baal mazboot hote hain aur girna kam ho jate hain. Khoon saaf hone ki wajah se baalon me chamak aa jati hai.
13. Jild Ke Daagh Aur Allergy Khatam Karta Hai
Jin logo ko jild ki allergy, kharish ya daane nikalte hain, unhe haldi doodh peena chahiye. Ye khoon ki gandagi ko saaf karke jild ko saaf karta hai.
Haldi Doodh Peene Ka Sahi Tarika
Ek glass doodh lein, usay halki aanch par garam karein. Jab doodh halka garam ho jaye, to us me aadha chamach haldi daal dein. Saath me ek chutki kali mirch bhi daal dein, is se haldi ka asar 2000 guna barh jata hai. Isay 5 minute tak halki aanch par pakayen. Phir chaan kar cup me nikal lein. Agar meetha chahiye, to thora sa shehad mila lein, cheeni na dalen. Raat ko sone se pehle neem garam peeyen.
14. Dimagh Aur Yaaddasht Tez Karta Hai
Haldi me curcumin hota hai jo dimagh ke cells ko taqat deta hai. Roz raat ko haldi doodh peene se yaaddasht tez hoti hai aur bhoolne ki bemari se bachat hoti hai.
15. Pet Aur Hazma Behtar Karta Hai
Jin logo ko khana hazam nahi hota, gas ya qabz rehti hai, unke liye haldi doodh bohat faidemand hai. Ye mede ki jalan ko thanda karta hai aur khana aasani se hazam karta hai.
Haldi Doodh Ke Nuqsanat Aur Ahtiyat
Haldi Doodh Peene Me Ehtiyat
Din me ek glass hi kafi hai. Agar aap ko pathri hai, ya aap hamla hain, to doctor se pooch kar hi peeyen. Kuch logo ko zyada haldi se maiday me jalan ho sakti hai, to aadha chamach se zyada na dalen.
Aakhri Baat
Haldi doodh koi jadoo ki dawai nahi hai, lekin agar aap isay apni rozana ki zindagi ka hissa bana lein, to aap ko dawaiyo ki zaroorat bohat kam par jayegi. Ye sasta, aasan aur qudrati nuskha hai jo har ghar me mojood hai. Aaj se hi raat ko haldi doodh peena shuru karein aur 15 din baad apna farq khud dekhein.
Aameen Sum Aameen.








Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.