Introduction
Mobile phone ajj har ghar may maujood hay.Chota bacha ho ya bara,sab kay hath me mobile hay.Sawal ye hay kay mobile phone bachon Kay liye faida mand hai ya nuqsaan deh hai?Asal sawal ye hai kay mobile khud acha ya bura nahi hay,uska istemal usko acha ya bura banata hay.
MobilePhone Ke Faide
Pehly faide ki baat karty hain, Mobile say ghar bathy bacha boht Kuch sekh sakta YouTube par English,Math , Science or degar subjects jaisy Arts subjects pr Islamic subject shamil hain.
Dosra faida ye hay kay bacha apny waliden say har waqt rabty may rehta hay.Agar wo school ya bazaar may ho to maa baap ko uski fikar nahi hoti.
Teesra faida yeh hay bacha nai technology ko sekh leta hay,jo ajj kay dor may bohat zaroori hay.
Mobile Phone Say Taleem ka Faida
Mobile phone ka sab say bara faida Taleem kay hawaly say hay.Aj bacha ghar bathy duniya ki behtreen taleem hasal kar sakta YouTube par ghar bathy Urdu, Enough, Science,Math ,Islamiat or baqi har subjects ki video mojoud Pakistan may bohat say bachon kay pass achi accedmy ya achy teachers nahi hain.Wo free may online classes dekh kar apni parhai behtar kar sakty hain.
Bachon Ki Zehni Taraqi
Mobilephone parhai kay liye nahi,balke zehni taraqi kay bhi faida mund hai.Internet par bachon Kay liye bohat si aisi games pur app hain jo unka dimag tez karty hain.Puzzles games,Math games our memory games say bacha sochna sekh jata hay
Is kay ilawa bacha mobile say duniya Kay baare may maloomaat hasal karta hai.
Walidain say Rabta Asaan
Ye sab say bara faida hay kay bacha har time apny parents say rabty may rehta hay.Jaisy bacha agar school,tuition our bazaar may hay to parents ko uski fikar nahi hoti.Agar emergency ho to bacha foran apny parents ko call kar leta Pehly zamany may aisa nahi hota tha,parents ko ghato intezar karna parta tha,lekin mobilephone ye problem solve kardi hay.
Mobile Phone Kay Nuqsanaat
Ab hum is may mobile phone Kay nuqsanaat ki baat karty hain,jo kay faidon say kahin zayada khatarnaak hain.Is sab say bara or pehla nuqsaan parhai ki tabahi hoti hay.Bacha jab is ka istemal galt tarerqy kay Sath karta hay,jis may wo har waqt games or reels dekhta rehta hay.Is ki wajah say us ka parhai ka sara waqt barbaad ho jata hay.Bohat say bachon kay numbers mobile phone kay zayada istemal ki wajah say kam ho gay hain.Wo apna homework chor kay har waqt mobile par lagy hoty hai.Un ka dimag hamesha parhai say hat kar mobile par laga rehta hay.Ye adat un ko parhai say hamesha Kay liye dor kar deti hay.

Sehat Par Bura Asar
Is ka bura asar bachon ki sehat par bhi parta hai.Jo bacha Sara din mobile dekhta rehta hay،us ki nazar kamzor ho jati hay.Us kay sar may dard rehny lagta hay.Pehly bachy gali may khel kar sehat mand rehny thy،ab wo kamry may band ho kar bimar ho rahy hain.
Iqhlaaq Aur Rawaiye Par Asar
Mobilephone istemal karny say bachon kay ikhlaq or rawaiye badal jaty Internet par har cheez achi nahi hay.Mobile phone may bachy aksat aisi videos dekh lety hain jo un ki age kay liye thek nahi hain.Is say un kay dimag may galat khialaat aty hain our un ka rawaiya badal jata hay.Wo baro say badtamezi karny lagty hain our akely rehna hi Pasand karty Mobile ki wajah say bacha apny ghar walon say dor ho jata hay.Wo khanna khaty buy,mehmaan any par bhi har waqt mobile may laga rehta hay.Is say ghar ka mahool kharab hota hay or bachy may izzat our mohabat Kam ho jati hay.
Walidain Ka Kirdar - Sub Say Ahem
Is masly ka hal bachon kay hath may nahi ,balky walidain kay hath may Walidain ko chahiye kay wo bachon ko mobile say bilkul na roky,bulky unko is ka Sahi istemal sikhay.Agar ap bachy ko sara din mobile de denge to kharab hi hoga.Lekin agar ap time fix kar layengy to mobile us kay liye faida ban jay ga.Walidain ko chahiye kay wo khud bhi bachon kay samny mobile phone kam istemal karein.Kiunky bacha ho dekhta hay wahi sekhta hay.Agar us kay walidain sara din mobile par lagy rahyengy to bacha bhi wahi kare ga.
Mobile Kay Sahi Istemal 5 Asaan Usool
Agar ap chahty hain Kay mobile ap Kay bachon kay liye faida ban jay to ap in 5 asoolon par amal karein.
.Pehla Usool bachon ko din may sirf ek ghanta mobile den,is say zayada nahi.
.Doosra Usool parhai or khanny Kay waqt mobile bilkul band kar dain.
.Teesra Usool raat ko sone say 1 ghanta pehly mobile len lain.
.Chautha Usool ,bachy mobile may sirf taleemi apps or videos rakhen,our galat chezon par Nazar rakhen.
.Panchwa Usool bachy ko roz,1 ghanta Bahar khelny kay liye bhejhy,taky us ki sehat achi rahy.
Agar in usoolon par amal kar liya jay to mobile bachy kay liye nuqsaan nahi,bulky us ka behtreen dost ban jayga.

Conclusion
Akhir may yahin kehna hay kay mobile phone na to bachon kay liye pori tarha acha hay our na hi pori tarha bura hay.Ye hamary istemal par hay kay hum is ko faida bnaty hain ya nuqsaan.Agar hum bachon ko sahi rehnymai den, time ki pabandi sikhain our un kay sath mohabat say pesh aayen to mobile un ki taraqqi ka zariya ban jay.Lekin agar hum bachon ko bina rok tok ke mobile de denge to ye un ki parhai,sehat our ikhlaaq teeno ko kharaab kar dai ga.Isi liye ajj hi faisla kar len kay ap apny bachy ko mobile ka ghulaam bnayengy ya phir bachy ko us ka Malik hi banayengy.Kiunky ye pa liye behtar hay.









Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.