Kabi humne socha ha ke hamare muashre me insan ki qeemat kis bunyaad par tay ki jati ha? Uske kirdaar par, uski soch par, uske ikhlaq par, yan phir sirf is baat par ke wo larka ha yan larki?
Ek hi ghar me paida hone wale do bachon ke liye duniya ke mayaar mukhtalif kun ho jate hain? Larka paida ho to fakhar ka izhar, mithaiyan aur mubarak-baad; larki paida ho to kabi khamoshi, kabi afsos aur kabi ese jumle jo ek nayi zindagi ke aghaz par hi uski qeemat kam kar dete hain.
Kya waqai ek larka kisi larki se zyada qeemti ha? Kya kisi insan ki izzat, salahiyat aur maqam ka faisla uski jins karti ha? Yan phir ye hamari soch hai jisne insaniyat ko mukhtalif khanon me taqseem kar diya ha?
Ye sawal sirf ek ghar, ek khandan yan ek tabqay ka nahi. Ye hamare pure muashray ke zameer ka sawal ha.
Paidaish Se Hi Farq Kun?
Hamare muashre me aksar larke ki paidaish ko khandan ki kamyabi aur larki ki paidaish ko zimmedari samja jata ha. Larke ke ane par kaha jata hai ke ghar ka waris a gya, jabke larki ke ane par uske mustaqbil, shaadi, hifazat aur bojh ki baatain shuru ho jati hain.
Lekin ek pal ke liye sochiye: dono apni marzi se duniya me nahi aaye. Dono ki paidaish me unka koi ikhtiyar nahi. Dono ko zindagi dene wali zaat Allah ki ha. Phir ek ko fakhar aur dusri ko sharmindagi ka sabab kisne bana diya?
Qur'an hume batata ha ke asmanon aur zameen ki badshahi Allah hi ke liye ha; wo jise chahe betiyan ata karta ha, jise chahe bete ata karta ha, aur jise chahe dono deta ha.
(Surah Ash-Shura 42:49–50)
Na larka hona kisi ki zaati kamyabi ha aur na hi larki hona kisi ki nakaami. Dono Allah ki makhlooq hain. Dono ki izzat aur insani waqar apni jagah mukammal ha.

Islam Aur Riwaaj : Dono me farq
Hamare muashre ka ek barha masla ye ha ke hum apni banayi hui rasmon, pabandiyun aur soch ko kabi kabi deen ka naam de dete hain. Jo baat naslon se chali a rahi ho, use sahi samaj liya jata ha, chahe uska insaf, rehmat aur deen ki rooh se koi taluq na ho.
Islam ne insan ki qeemat uski jins, maal, khandan yan samaji rutbe se nahi jorhi. Qur'an me mard aur aurat dono ke liye naik amal aur behtar zindagi ka zikr ha (Surah An-Nahl 16:97). Surah Al-Ahzab ki ayat 35 me mardon aur aurton dono ke liye emaan, sachai, sabr, sadqa, roza aur Allah ke zikr par ajar ka zikr ata ha.
Phir sawal ye ha ke humne deen ki taleemat ko samajne ke bajaye apne riwaaj ko deen ka libas kun pehna diya?
Kisi larki ki taleem rok dena, uski rai ko ehmiyat na dena, uske khwabon ko sirf is liye chota kar dena ke wo larki ha—ye sab faisle khud-ba-khud deeni hukam nahi ban jate. Isi taran kisi larke ko har waqt sakht rehne, apne jazbaat chupane aur har bojh khamoshi se uthane par majboor karna bi insani zaruriyat ko nazarandaz karna ha.

Deen ko samajhne ke liye ilm, insaf aur pura pas-e-manzar zaruri ha. Har ghar ka riwaaj Islam nahi hota, aur har purani baat sach nahi hoti.
Larki Ki Khamoshi Aur Larke Ka Chupa Hua Dard
Na-insafi ka ek pehlu ye ha ke hum aksar sirf ek taraf ka dard dekhte hain. Haqeeqat ye ha ke hamare muashre ke banaye hue maaar dono ko mukhtalif tareeqon se zakhmi karte hain.
Larki ko bachpan se sikhaya jata ha ke zyada mat bolo, apni marzi mat dikhao, unchay khawab na dekho, logon ki baat ka khayal karo. Uski hansi, libaas, dosti, taleem, safar aur faislon tak par sawal uthaye jate hain. Kabi uski khamoshi ko sharafat aur uske apne haq ke liye bolne ko badtameezi ka naam de diya jata ha.

Dusri taraf larke se kaha jata ha ke mard rote nahi, kamzor nahi parte, darte nahi aur apni pareshani kisi ko nahi batate. Us par ghar ki zimmedari, kamyabi, kamai aur har haal me mazbut nazar ane ka dabao hota ha. Agar wo apne jazbaat bayan kare to use kamzor keh diya jata ha. Agar wo apni mushkil ka izhar kare to uski mardangi par sawal utha diya jata ha.

Yani ek ko apni awaaz dabane ka sabaq diya jata ha aur dusre ko apne ansu chupane ka.
Kya humne kabi socha ke dono insan hain? Dono ko mohabat, izzat, tahafuz, samaj aur apne jazbaat bayan karne ka haq ha. Kisi ka dard dusre ke dard ko chota nahi karta.
Hume larki ko apne haq ke liye bolne ka hausla dena hoga aur larke ko apne jazbaat ka izhar karne ki ijazat. Insaniyat ka taqaza ye nahi ke hum ek ko dusre ke khilaf khara kar dain, balke ye ha ke dono ko insan samajna seekhain.
Log Kya Kahenge? Aur Hum Kab Tak Darte Rahenge?
Hamare kai faislon ke peechay ek hi jumla hota ha: “Log kya kahenge?”
Logon ke khauf se kisi ki taleem rok di jati ha. Kisi ki pasand ko rad kar diya jata ha. Kisi ko apni salahiyat dikhane ka mauqa nahi milta. Kisi ki galti ko sudharne ke bajaye usay zindagi bhar ka taana bana diya jata ha.
Hum apne gharon me izzat bachane ke naam par kabi kabi dusron ki izzat hi cheen lete hain. Hum riwaaj nibhane ke liye insan ke jazbaat ko nazarandaz kar dete hain. Hum duniya ke samne acha nazar ane ki koshish me apne ghar ke andar kisi ki khamosh cheekh sunna bhool jate hain.
Lekin kya logon ki rai itni ehem ha ke uske liye kisi ki poori zindagi mushkil bana di jaye?
Har riwaaj galat nahi hota aur har ikhtilaf na-insafi nahi hota. Lekin jab koi riwaaj kisi ki izzat, taleem, hifazat, bunyadi huqooq ya insani waqar ko nuqsan pohanchaye, to us par sawal uthana zaroori ha.
Muashray ko badalne ka aghaz tab hota ha jab hum “log kya kahenge?” se pehle ye sochna shuru kar dain ke “jo hum kar rahe hain, kya wo insaf ha?”
Jab Insan Khud Ko Faisla Karne Wala Samajhne Lage
Yahan ek aur sawal hamare samne kharha hota ha: jis Rab ne hume zindagi di, jo apne bandon ke liye tauba aur maghfirat ka darwaza khula rakhta ha, jo apni rehmat se mayus na hone ki taleem deta ha,ese me phir insan dusre insan ko maafi, islaah aur dobara behtar zindagi ka moqa dene se kun inkar kar deta ha?
Allah ki rehmat ka darwaza bande ke liye khula ha jab wo sache dil se palat kar tauba kare. Insaan se galti ho joti ha, wo girta ha, seekhta ha aur apne ap ko badalne ki koshish karta ha. Lekin hamara muashra aksar kisi ki ek galti ko uski puri pehchan bana deta ha.
Kisi ke maazi ko uske mustaqbil ka faisla bana diya jata ha.
Kisi ki ek kamzori ko uski puri shakhsiyat par haavi kar diya jata ha.
Kisi ko uske halaat, uski paidaish, uski jins yan uske guzre hue faislon ki bunyaad par jeene ke qabil hi nahi samja jata.
Aakhir insaan hota kon ha kisi dusre insan ki zindagi ka faisla karne wala?
Hum kisi ke dil ka pura haal nahi jante. Hum kisi ki har majboori, har aansu aur har koshish se waqif nahi hote. Hume apne huqooq ki hifazat ka haq ha, aur zulm ke khilaf kharay hona bi zaroori ha. Lekin kisi ko zaleel karna, uski zindagi tabah karna, uski izzat ko paamal karna yan uske liye umeed ke tamam darwaze band kar dena insaf nahi.
Maafi ka matlab ye nahi ke zulm ko nazarandaz kar diya jaye, na hi kisi ko nuqsan pohanchane wale rawaiye ko bardasht karna zaroori ha. Lekin jawabdahi aur beizzati me farq hota ha. Islaah aur intiqam ek cheez nahi. Insaf aur kisi ko zindagi bhar saza dete rehna ek jesa nahi.
Jab Allah ne insan ko sochne, samajne, seekhne aur apni galti se palatne ki salahiyat di ha, to hum kun kisi ke liye tabdeeli ka imkaan hi khatam kar dete hain?
Shayad hume dusron ke faisle karne se pehle apne rawaiyun ka hisaab kar lena chahiye.
Farq Qudrati Ho Sakta Ha, lekin Na-Insafi Nahi
Mard aur aurat me qudrati farq ho sakta ha. Unki jismani salahiyatain, zimmedariyan aur zindagi ke tajurbe mukhtalif ho sakte hain. Lekin farq ka matlab kisi ek ko dusre se kamtar samajna nahi.
Insaf ka matlab har shakhs ko ek hi sanche me dhalna bi nahi. Insaf ka matlab ha ke kisi ko uski jins ki waja se be-izzat, mehroom yan be-ikhtiyar na banaya jaye. Har shakhs ko uski salahiyat, zarurat, zimmedari aur huqooq ke mutabiq izzat aur moqa diya jaye.
Larke ko sirf is liye behtareen nahi kaha ja sakta ke wo larka ha, aur larki ko sirf is liye kamtar nahi samja ja sakta ke wo larki ha. Kisi ki asal pehchan uska kirdaar, uska rawaiya, uski sachai aur dusron ke sath uska sulook ha.
Agar hum waqai behtar muashra chahte hain to hume ghar se shuruat karni hogi. Bete aur beti dono ko taleem, tarbiyat, izzat aur apni salahiyat samne lane ka mauqa dena hoga. Larke ko bi apne jazbaat bayan karne dene honge aur larki ko bi apni rai rakhne ka haq dena hoga. Galti par dono ki islaah honi chahiye, lekin kisi ke sath jins ki bunyaad par mukhtalif insaf nahi hona chahiye.
Asal Imtehan Hamari Soch Ka Hai
Hum aksar kehte hain ke zamana badal gya ha, lekin kya hamari soch bi badli ha? Kya humne apne gharon me larka aur larki ke liye ek jesa insani waqar tasleem kiya ha? Kya humne apne riwaaj ko deen samajne se pehle uski haqeeqat janne ki koshish ki ha? Kya hum kisi ko uski galti se age barhne ka moqa dete hain? Kya hum apne alfaaz aur rawaiyon se kisi ki zindagi asaan banate hain yan mushkil?
Ye article kisi ek jins ko duusre ke muqable me khara karne ke liye nahi. Ye kisi ke huqooq cheen kar kisi aur ko dene ki baat bi nahi. Ye sirf itni si guzarish ha ke hum insan ko pehle insan samajna seekhain.
Larka ho yan larki, dono ki zindagi ehem ha. Dono ke khawab ehmiyat rakhte hain. Dono ke jazbaat sache ho sakte hain. Dono se galti ho sakti ha aur dono ko behtar banne ka moqa milna chahiye.
Riwaaj tab tak khubsurat hain jab tak wo insaniyat ko zinda rakhain. Jis din riwaaj insaf se barha ho jaye, us din us par sawal uthana zaroori ho jata ha.
Akhir me bas ek sawal apne ap se puchain:
Agar Allah ne kisi insan ko zindagi di ha, uske liye tauba aur rehmat ka rasta rakha ha, to hum kon hote hain uski izzat, uske khawab aur uske jeene ke haq ka faisla karne wale?
Shayad hume duniya ko badalne se pehle apni soch badalni hogi. Kunke muashre ka asal chehra uske riwaaj nahi, balke wo insaniyat ha jo wo apne logon ke sath dikhata ha.
Insan ki pehchan uski jins nahi, uska kirdar ha. Aur hamari soch ka asal imtehan tab hota ha jab hum kisi kamzor, mukhtalif yan galti karne wale insan ke saath insaf karte hain.
— Rooh Ki Awaz









Comments 0
Sign in to join the conversation.
No comments yet. Be the first to say something.